A'maal Maah-e-Rajab aur un ki Fazilat
Waazeh rahe ke Rajab, Sha’baan aur Ramzaan intehaayi ba-barkat maheene hain aur in ke fazaa’il mein be-shumaar riwaayaat waarid hui hain Rasool-e-Akram Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam se yahan tak naql kiya gaya hai ke Maah-e-Rajab Khuda ka azeem maheena hai aur yeh woh maheena hai jis ki fazeelat ko koi maheena nahin paa sakta hai aur jis mein kaafiroñ se jihaad ko bhi haraam kar diya hai. Rajab Khuda ka maheena hai, Sha’baan mera maheena hai aur Maah-e-Ramzaan meri Ummat ka maheena hai. Agar koi shakhs Maah-e-Rajab mein rozah rakhe to Parwardigaar ki khushnoodi ka haqq daar hoga aur us ke ghazab se mehfooz ho jaayega aur us ke liye jahannum ke darwaaze band ho jaaeiñge.
Imam Moosa Kaazim Alaihissalaam se naql kiya gaya hai ke jo shakhs Maah-e-Rajab mein ek din rozah rakhega aatish-e-jahannum us se ek saal ke faasle tak door ho jaayegi aur jo shakhs teen din rozah rakhega us ke liye jannat laazim ho jaayegi. Is ke ilawa farmaaya ke Rajab jannat mein ek nehr ka naam hai jo doodh se ziyadah safed aur shehad se ziyadah sheereen hai aur Maah-e-Rajab mein ek din rozah rakhne waala bhi is nehr se seraab kiya jaayega.
Imam Ja’far Saadiq Alaihissalaam se naql kiya gaya hai ke Rasool-e-Akram (SAW) ne farmaaya hai ke Maah-e-Rajab meri Ummat ke Istighfaar ka maheena hai. Lihaza is maheene mein Khuda se ziyadah se ziyadah maghfirat talab karo ke Khuda bahut bakhshne waala aur mehrbaan hai. Aur Rajab ko Asabb isi liye kaha jaata hai ke is maheene mein Ummat par rehmat-e-Parwardigaar ki baarish hoti hai. Lihaza musalsal
Maiñ Khuda se bakhshish chahta hooñ aur taubah ki taufiq maangta hooñ.
kehte raho.
Ibn-e-Baabawayh (RA) ne mo’tabar sanad ke saath Ibn-e-Saalim se riwayat ki hai ke maiñ aakhir-e-Maah-e-Rajab mein Imam Ja’far Saadiq (AS) ki khidmat mein haazir hua jab ke sirf chand din baaqi reh gaye the to Hazrat ne mujhe dekh kar farmaaya ke kya tum ne is maheene mein rozah rakha hai? Maiñ ne arz kiya nahin! Farmaaya ke is qadar sawaab tumhaare haathoñ se nikal gaya ke jis ki miqdaar ko Khuda ke ilawa koi nahin jaanta hai. Yaqeenan yeh maheena woh hai jis ko Parwardigaar-e-Aalam ne doosre maheenoñ par fazeelat di hai us ki hurmat ko azeem banaaya hai aur is maah mein rozah rakhne waaloñ ki karaamat ko apne liye waajib qaraar diya hai. To maiñ ne arz ki. Ay Farzand-e-Rasool (SAW) agar baaqi dinoñ mein rozah rakh liya jaaye to kya us mein se kuch sawaab haasil ho jaayega? Farmaaya Saalim jo shakhs Maah-e-Rajab ke aakhir mein ek din rozah rakhega Parwardigaar-e-Aalam us ko sakraat-e-maut se nijaat de dega aur marne ke ba’d qabr ke haul se mehfooz rakhega aur agar koi aakhir-e-maah mein do din rozah rakh lega to woh siraat se ba-aasaani guzar jaayega aur agar teen din rozah rakhega to Qiyaamat ke khauf se mehfooz ho jaayega aur us din ki shiddat aur haul se aman mein rahega aur Khuda usay jahannum se nijaat ka parwaanah ataa farma dega. Yaad rakho ke rozah-e-Maah-e-Rajab ke liye be-shumaar fazeelat waarid hui hai aur yahan tak riwayat mein hai ke agar koi shakhs rozah rakhne ke qaabil na ho to rozanah sau martaba yeh tasbeeh paṛhe taa-ke usay rozah ka sawaab mil jaaye.
سُبْحَانَ الْاِلٰهِ الْجَلِيْلِ
Pakeezah hai woh Khudaye Jaleel,
سُبْحَانَ مَنْ لَا يَنْبَغِيْ التَّسْبِيْحُ اِلَّا لَهُ
Pakeezah hai woh jis ke ilawa kisi ke liye tasbeeh nahin hai.
سُبْحَانَ الْاَعَزِّ الْاَكْرَمِ
Pakeezah hai woh Khudaye Azeez-o-Kareem.
سُبْحَانَ مَنْ لَبِسَ الْعِزَّ وَ هُوَ لَهُ اَهْلٌ۔
Pakeezah hai woh jis ka libaas izzat hai aur woh is libaas ka ahl hai.
Pakeezah hai woh Khudaye Jaleel, Pakeezah hai woh jis ke ilawa kisi ke liye tasbeeh nahin hai. Pakeezah hai woh Khudaye Azeez-o-Kareem. Pakeezah hai woh jis ka libaas izzat hai aur woh is libaas ka ahl hai.