EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Tashye'-e-Janaazah aur Dafn-e-Mayyit
Aur sunnat hai jab tak janaazah uṭhaa na liya jaaye apni jagah khaṛa rahe. Khaas taur se pesh-e-namaaz ke liye.
Aur ek riwaayat meiñ hai ke namaaz khatm hone ke ba'd kahe:
رَبَّنَا اٰتِنَا فِىْ الدُّنْيَا حَسَنَةً
Ay hamaare Rabb! Hamein duniya mein neki ataa kar
وَ فِى الْاٰخِرَةِ حَسَنَةً
aur aakhirat mein bhi neki ataa kar
وَ قِنَا عَذَابَ النَّارِ۔
aur hamein Jahannam ke azaab se bachaa.
Hazrat Imam Ja'far Sadiq 'alayhissalaam se manqool hai ke behtar hai ke mo'mineen ko mo'min ki maut se ba-khabar kiya jaaye taa-ke us tashye'-e-janaazah meiñ shareek hoñ aur Namaaz-e-Janaazah paṛheñ aur us ke liye istighfaar kareñ aur mayyit aur woh log sab sawaab ke haqdaar ho jaayeñ.
Hasan hadees meiñ Hazrat Imam Ja'far Sadiq 'alayhissalaam se manqool hai ke jab mo'min ka qabr meiñ rakha jaata hai to use aawaaz di jaati hai ke hamaari taraf se tere liye sab se pehli 'aṭaa Jannat hai aur teri tashye'-e-janaazah meiñ shareek hone waaloñ ke liye pehli 'aṭaa un ke gunaahoñ ki bakhshish hai.
Aur doosri hadees meiñ hai ke qabr meiñ rakhe jaane ke ba'd mo'min ko jo sab se pehla tuhfah diya jaata hai woh yeh hai ke us ke janaazah meiñ shaamil tamaam afraad ko bakhsh diya jaata hai.
Aur doosri hadees meiñ hai ke jo shakhs tadfeen hone tak mo'min ke janaazah ke saath rahe to Parwardigaar-e-'Alam sattar farishtay mu'aiyyan kar deta hai jo us ke saath rehte hain aur qabr se le kar roz-e-hisaab tak us ke liye istighfaar karte rehte hain.
Aur farmaaya ke jo janaazah ke kisi ek hissah ko kaandha de us ke pachchees gunaah-e-kabeerah bakhsh diye jaate hain.
Aadaab-e-Hamal (Kaandha) Janaazah
Aur agar chaaroñ taraf se kaandha de to us ke tamaam gunaah mu'aaf kar diye jaate hain. Janaazah ko kam az kam chaar aadmi uṭhaayeñ aur kaandha dene waaloñ ke liye behtar hai ke mayyit ke daahni taraf jo janaazah ka baayaañ hissah hai use apne daahne kandhe par rakhe phir mayyit ke daahne pair ke hissah ko apne daayeñ kandhe par rakhe.
Is ke ba'd janaazah ke peeche se doosri taraf jaaye aur mayyit ke baa'iiñ pair ko apne baa'iiñ kandhe par taaboot ka baayaañ hissah rakhe phir agar dobaarah shuru' se kaandha dena chaahe to janaazah se aage nikal kar na jaaye balkeh janaaze ke peeche se jaa kar dobaarah isi tarah kaandha de.
Aur aksar 'Ulama ne is ke bar 'aks kaha hai ya'ni ke janaazah ki daahni jaanib se ibtidaa kare phir daayeñ jaanib pair ki taraf jaaye phir baa'iiñ taraf pair ki jaanib, us ke ba'd kandhe ki taraf aaye agarche pehla tareeqah hadees ke muwaafiq hai is liye awlaa hai aur agar donon tareeqoñ se kaandha diya jaaye to behtar hai aur afzal yeh hai ke janaazah se aage na chale balkeh us ke peeche saath saath chale aur aksar ahaadees se zaahir hota hai ke agar mo'min ka janaazah ho to us ke aage chalna behtar hai aur deen wa tashye' ke janaazah meiñ aage chalna behtar nahiñ hai kyuñke malaa'ikah-e-'azaab us ka istiqbaal karte hain aur janaazah ke saath sawaar ho kar chalna bhi makrooh hai.