Fazeelat Wa Kaifiyat Sajdah Shukr
Jab Ta'qibaat-e-Namaaz se faarigh ho jaaye to Sajdah-e-Shukr adaa kare ke is baat par tamaam Ulamaa-e-Shi'a ka ittifaaq aur ijmaa' hai ke nayi ne'mat haasil hone par, balaa ke tal jaane ke ba'd Sajdah-e-Shukr karna sunnat hai aur behtareen Sajdah-e-Shukr woh hai jo Namaaz ke ba'd Namaaz ki taufeeq mil jaane ke liye kiya jaaye.
Hazrat Imam Muhammad Baqir (A.S.) se riwaayat hai ke Aap (A.S.) ne farmaya ke mere waalid-e-giraami Hazrat Imam Zain-ul-Aabideen (A.S.) jab bhi Khudaawand ki kisi ne'mat ko yaad karte the to uske liye Sajdah-e-Shukr kiya karte the aur jo bhi Aayat-e-Sajdah padhte the uske ba'd bhi Sajdah karte the aur agar Khudaawand-e-Aalam ne us balaa ko taal diya jisse woh khaa'if the to bhi Sajdah karte the.
Jab waajib Namaaz se faarigh hote the uske ba'd bhi Sajdah karte the aur jab do afraad ke darmiyaan sulh karaane ka mauqa' mil jaata tha to uske shukr mein Sajdah karte the aur Hazrat (A.S.) ke tamaam a'zaa-e-Sajdah par Sajdah ka asar numayaan tha. Isi bina par Aap (A.S.) ko Hazrat Sajjad (A.S.) kaha jaata tha.
Hazrat Imam Ja'far Sadiq (A.S.) se saheeh sanad ke saath riwaayat hai ke jo shakhs bhi Namaaz ke alaawa kisi ne'mat ke shukr mein ek Sajdah karega Khudaawand-e-Aalam uske liye das hasanaat (nekiyan) likhega aur das buraa'iyan uske naa'ma-e-a'mal se mahw kar dega aur uske das darjaat Jannat mein buland ho jaayenge.
Aur bahut hi mo'tabar sanad ke saath Aan Hazrat (A.S.) se manqool hai ke us haalat mein banda Khudaawand-e-Aalam ke sabse zyada nazdeek hota hai jab woh Sajdah mein ho aur girya kar raha ho.
Aur doosri saheeh hadees mein hai ke Sajdah-e-Shukr karna har Musalmaan par waajib hai.
Isi par apni Namaaz tamaam karo aur is se apne Parwardigaar ko khush karke Malaa'ika ko hairat-zada kar do.
Yaqeenan banda Namaaz ke ba'd Sajdah-e-Shukr karta hai to Khudaawand-e-Aalam uske aur Malaa'ika ke darmiyaan se hijaab utha leta hai. Phir farmata hai ke Aye mere Malaa'ika! zara mere bande ko dekho jisne mere farz ko adaa karne aur a'had ko poora karne ke ba'd mere saamne is ne'mat ke shukr mein Sajdah kiya hai jo main ne use ataa ki hai.
Aye mere Malaa'ika! bataao ise kya diya jaaye? To woh kehte hain Parwardigaara teri rehmat.
Phir farmata hai aur kya dena chaahiye? Kehte hain Parwardigaar teri Jannat.
Phir farmata hai aur kya? Kehte hain ke iski tamaam zaruriyaat ki adaa'igi aur tamaam haajaton ki bar-aawari.
Phir baar baar yahi sawaal kiya jaata hai yahan tak ke farishte kehte hain ke Parwardigaara ab hum kuch nahi jaante.
To phir Khudaawand-e-Aalam farmata hai ke main iska isi tarah shukriya adaa karunga jis tarah isne mera shukriya adaa kiya hai.
Aur main apne fazl se iski taraf rukh karunga aur Roz-e-Qiyaamat apni azeem rehmat ka ise deedaar karaaunga.
Saheeh sanad ke saath Hazrat Imam Ja'far Sadiq (A.S.) se manqool hai ke Khudaawand-e-Aalam ne Hazrat Ibraheem (A.S.) ko is liye Khaleel banaaya ke Aap (A.S.) zameen par bahut Sajde kiya karte the.
Doosri mo'tabar hadees mein hai ke jab tumhein Khudaawand-e-Aalam ki koi ne'mat yaad aaye aur us jagah koi dushman tumhein na dekh raha ho to apne rukhsaar ko zameen par rakh do aur agar tum aisi jagah ho jahan woh log maujood hon aur Sajdah-e-Shukr karna mumkin na ho to pait par haath rakh kar Khudaawand-e-Aalam ke saamne tawaazo' aur inkisaari ke liye jhuk jaao aur pait par haath rakhne ki wajah yeh hai ke tumhare mukhaalif samjhein ke pait mein dard ho gaya hai.
Aur kasrat ke saath riwaayaat mein hai ke Khudaawand-e-Aalam ne Hazrat Moosa (A.S.) se khitaab karke kaha: Kya tum yeh jaante ho ke main ne poori makhlooq mein tumhara intikhaab kar tumhein apna Kaleem kyun banaaya hai.
Janaab Moosa (A.S.) ne kaha Aye mere Parwardigaar mujhe nahi ma'loom. To Khudaawand-e-Aalam ne farmaya ke jab main ne apne bandon par nigaah daali to main ne unke darmiyaan kisi ko aisa na paaya ke jiska nafs mere saamne tumse zyada zaleel ho iski wajah yeh hai ke tum Namaaz se faarigh ho kar apne chehre ko dono taraf se khaak par rakhte ho.
Mo'thaq sanad ke saath Hazrat Imam Raza (A.S.) se riwaayat hai ke Namaaz-e-Waajib ke ba'd Sajdah karna Khudaawand-e-Aalam ki us ne'mat ka shukriya hai ke jo usne bande ko Namaaz padhne ki taufeeq di hai aur is Sajdah mein kam se kam teen baar "Shukran Lillahi" kaha jaaye.
Raawi ne sawaal kiya ke "Shukran Lillahi" ke kya ma'ani hain?
Farmaya ke iske ma'ani yeh hain ke mera yeh Sajdah Khudaawand-e-Aalam ka shukraana hai ke usne mujhe apni baaragah mein qiyaam aur apne farz ko adaa karne ki taufeeq di hai.