EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Subh ke Nawaafil
Phir Naafila-e-Subh ke liye uth jaaye aur Naafila-e-Subh do rak'at hai. Pehli rak'at mein Hamd ke ba'd Qul Yaa Ay-yuhal Kaafiroon aur doosri rak'at mein Hamd ke ba'd Surah Tauheed padhe aur Salaam ke ba'd is tarah daayen karwat leit jaaye jis tarah mayyit ko qabr mein litaaya jaata hai aur apne daahne rukhsaar ko zameen par rakhe aur kahe:
اِسْتَمْسَكْتُ بِعُرْوَةِ اللهِ الْوُثْقَى
Main Khuda ki is rismaan-e-hidaayat se waabastah hoon
الَّتِىْ لَاانْفِصَامَ لَهَا
Jo tootne waali nahin hai.
وَاعْتَصَمْتُ بِحَبْلِ اللهِ الْمَتِيْنِ
Main Hablul Mateen se waabastah hoon,
وَ اَعُوْذُ بِاللهِ مِنْ شَرِّ فَسَقَةِ الْعَرَبِ وَالْعَجَمِ
Main Khuda ki panaah chahta hoon Arab o Ajam ke faasiqon ke shar se
وَ اَعُوْذُ بِاللهِ مِنْ شَرِّ فَسَقَةِ الْجِنِّ وَالْاِنْسِ۔
Aur jinn o ins ke faasiqon ke shar se.
Phir teen baar kahe:
سُبْحَانَ رَبِّ الصَّبَاحِ فَالِقِ الْاِصْبَاحِ۔
Paak hai subah ka Parwardigaar jo subah ko wajood mein laata hai
Aur Aal-e-Imraan ki paanch aayatein padhe.
Phir uth jaaye aur baith kar Tasbeeh Zahra (A.S.) padhe.
Kitaab Man Laa Yahzuruhul Faqeeh mein hai ke jo shakhs Naafila-e-Subh aur Namaaz-e-Subh ke darmiyaan sau (100) baar Muhammad (S.A.W.) wa Aal-e-Muhammad (S.A.W.) par Salawaat bhejega Khudaawand-e-Aalam Roz-e-Qiyaamat uske chehre ko Aatish-e-Jahannum se mehfooz kar dega aur isi tarah jo sau (100) baar:
Padhega Khudaawand-e-Aalam uske liye Jannat mein ek ghar bana dega aur jo shakhs ikkis (21) baar Surah Qul Huwallahu padhega Khudaawand-e-Aalam uske liye Jannat mein ek ghar bana dega aur agar iska chaalees (40) baar padhega Khudaawand-e-Aalam usko bakhsh dega aur behtar hai ke Namaaz-e-Shab ke ba'd Saheefa-e-Kaamilah ki battes-veen (32) du'a padhi jaaye.
سُبْحَانَ رَبِّىَ الْعَظِيْمِ وَ بِحَمْدِہٖ اَسْتَغْفِرُ اللهَ رَبِّىْ وَ اَتُوْبُ اِلَيْهِ۔‏
Paak hai mera Azeem Rabb aur main uski hamd karta hoon, main apne Allah se mu'aafi maangta aur taubah karta hoon.
Is ke ba'd Sajdah-e-Shukr bajaa laaye. Aur munaasib hai ke ismein apne Baraadaraan-e-Deeni ke liye du'a kare aur yeh du'a padhe:
Jo Sajdah-e-Shukr ki du'aaon mein guzar chuki hai.
اَللّٰهُمَّ يَا ذَا الْمُلْكِ الْمُتَاَبِّدِ۔۔۔
Ay Allah! Ay daa'imi o abadi baadshaahi waale....
Mujhe bhi Baraadaraan-e-Deeni ki jaanib se mukammal yaqeen hai ke is gunaahgaar ke liye bhi du'a karenge ke main du'a ka bahut zyada muhtaaj hoon.
اَللّٰهُمَّ رَبِّ الْفَجْرِ۔۔۔