Namaz-e-Haajat
Da'waat Rawandi se manqool hai ke Hazrat Imam Zainul Aabideen Alaihissalam ek shakhs ke paas se guzre jo ek shakhs ke darwaze par baitha tha. Aap ne farmaya ke is jaabir wa sitamgar ke darwaze par kyun baithe ho? Kaha ke kuchh mushkilaat aur sakhtiyon ki bina par jin mein giraftar hoon. Farmaya ke utho. Main tumhein is se behtar darwaza ka pata bataye deta hoon aur us Rabb tak pahunchaaye deta hoon jo tere liye is se behtar hai jo tere liye is se behtar hai.
Yeh keh kar use Masjid-un-Nabi (S) tak laaye aur farmaya ke qibla ki taraf rukh kar ke do raka'at namaz padho aur phir Khuda-wand Aalam ki hamd wa sana kar ke Muhammad (S) wa Aal-e-Muhammad (S) par salawat bhejo phir Surah-e-Hashr ki aakhri aayaat aur Surah-e-Hadeed ki chheh ibtedaa'i aayaat aur do aayatein Aal-e-Imraan ki padh kar Khuda se apni haajat talab karo. Insha woh ata farma dega. Janab Rawandi ra farmate hain ke shaayad Aal-e-Imraan ki woh aayatein:
Qulillahumma Maalik-al-mulk ta "bi-ghairi Hisaab"
Hon Allama Majlisi ra ne farmaya hai ke shaayad aayat "Qulillahumma" aur aayat "Shahidallahu" muraad hai.
Hazrat Ameer-ul-Momineen a.s. se riwayat hai ke Aap ne farmaya ke tum mein se koi kisi haajat ka iraada kare to subah Panjshanbah (Jume'raat) bahar nikle aur jab ghar se nikal raha ho to Surah-e-Aal-e-Imraan ka aakhri hissa aur Ayat-ul-Kursi Inna Anzalnaahu aur Surah-e-Hamd padhe kyun ke is tarah dunya wa aakhirat ki tamam haajatein poori ho jayengi.