Fazeelat wa A'maal Shab wa Roz-e-Juma
Waazih rahe ke Shab wa Roz-e-Juma ko tamam raaton aur dinon ke muqaabla mein ek khaas imtiyaz, rif'at, sharaf aur bulandi haasil hai.
Rasool-e-Akram (S) se naql kiya gaya hai ke Shab-e-Juma aur Roz-e-Juma ke chobees ghante hain aur un ka Parwardigaar har ghante mein chheh laakh afraad ko Aatish-e-Jahannam se aazaadi inaayat farmata hai.
Imam Sadiq a.s. se naql kiya gaya hai ke jo shakhs zawaal-e-Panjshanbah se zawaal-e-Roz-e-Juma ke darmiyan mar jaaye, Khuda use fishaar-e-qabr se mahfooz rakhega.
Neez naql kiya hai ke Juma ki ek khaas hurmat aur us ka ek azeem haq hai, lehaza khabardaar us ki hurmat ya us ka haq zaaya na hone paaye aur in auqaat mein Parwardigaar ki ibaadat mein aur us ke taqarrub haasil karne mein kotaahi nahin karni chahiye. Behtareen a'maal anjaam dena chahiye aur tamam muharramaat ko tark kar dena chahiye ke Khuda in auqaat mein sawaab-e-ita'at ko doguna kar deta hai aur gunaahon ke azaab ko mahv kar deta hai aur dunya wa aakhirat mein momineen ke darajaat ko buland karta hai.
Shab-e-Juma bhi fazeelat mein misl Roz-e-Juma hai agar insaan is shab mein namaz aur du'a ke saath shab bedaari kar sakta hai to karna chahiye ke Parwardigaar-e-Aalam is raat mein malaa'ika ko momineen ke ehteraam ke liye aasmaan-e-awwal par bhejta hai ke un ki nekiyon ko zyada banaayein aur un ke gunaahon ko mahv kar dein. Khuda behtareen meherbaan aur Kareem hai.
Hadees mo'tabar mein inheen Hazrat Imam Sadiq a.s. se naql kiya gaya hai kabhi aisa hota hai ke momin kisi kaam ke liye du'a karta hai aur Parwardigaar us du'a ki qabooliyat ko itni der taal deta hai ke Roz-e-Juma aa jaaye to us ki haajat ko poora kar diya jaaye aur Juma ki barkat se us mein izafa kar diya jaaye.
Farmaya ke biradaraan-e-Yusuf a.s. ne jab Ya'qoob a.s. se apne gunaahon ki mu'aafi ka mutaalba kiya to unhon ne farmaya ke main anqareeb tumhare liye Parwardigaar se istighfaar karunga aur unhon ne istighfaar ko Shab-e-Juma ki sahar tak ke liye multavi kar diya taa ke yeh du'a qabool ho jaaye.
Inheen Hazrat a.s. se marwi hai ke jab Shab-e-Juma aati hai to darya ki machhliyan paani se sir nikaalti hain aur sehra ke janwar aasmaan ki taraf sir uthate hain aur sab Parwardigaar ko aawaz dete hain, Khudaaya hum par logon ke gunaahon ka azaab na karna.
Imam Muhammad Baqir a.s. se manqool hai ke Parwardigaar-e-Aalam ek malak ko har Shab-e-Juma mein Arsh-e-Azam se hukm deta hai aur woh isi bulandi se awwal shab se aakhir shab tak Maalik ki taraf se aawaz deta rehta hai ke aaya koi banda-e-momin hai jo tuloo'-e-subh se pehle apni dunya wa aakhirat ke liye koi du'a kare taa ke Khuda us ki du'a ko qabool kare. Aaya koi banda-e-momin hai jo tuloo'-e-subh se pehle apne gunaahon se tauba kar le taa ke Khuda us ki tauba ko qabool kar le. Aaya koi banda-e-momin hai jis ki rozi tang ho aur woh us se sawaal kare aur woh sirf us ki rozi mein wus'at paida kar de. Aaya koi banda-e-momin hai jo beemar ho aur tuloo'-e-subh se pehle us se iltemaas kare aur woh use shifa aafiyat inaayat kar de. Aaya koi banda-e-momin hai jo giraftaariyon mein mubtila ho aur woh tuloo'-e-fajr se pehle sawaal kare aur woh use qaid se rihaai dila kar us ke ranj wa gham ko door kar de. Aaya koi banda-e-momin hai jo mazloom hua aur tuloo'-e-fajr se pehle us se sawaal kare ke woh use zaalim ke zulm se nijaat dila de aur us ke haq ka inteqaam le kar us ka haq us ke hawaale kar de. Malak ki yeh aawaz tuloo'-e-fajr tak yun hi barqarar rehti hai.
Ameer-ul-Momineen a.s. se manqool hai ke Parwardigaar ne Roz-e-Juma ko tamam dinon par muntakhab aur Roz-e-Eid qaraar diya hai aur us ki raat ko bhi wahi martaba bakhsha hai aur Roz-e-Juma ke fazaa'il mein se yeh bhi hai ke agar koi insaan is din Parwardigaar se kisi haajat ka sawaal karta hai to us ki haajat poori kar di jaati hai aur agar koi jama'at azaab ki mustahaq ho jaaye aur Shab-e-Juma ya Roz-e-Juma Parwardigaar se du'a kare to Parwardigaar us ke azaab ko bar taraf kar deta hai, aur jin umoor ko Shab-e-Juma muqaddar karta hai unhein muhkam aur mustahkam bana deta hai. Lehaza Shab-e-Juma behtareen shab aur Roz-e-Juma behtareen roz hai.
Imam Ja'far Sadiq Alaihissalam se riwayat ki gayi hai ke Shab-e-Juma gunaah karne se khusoosiyat ke saath parhez kare ke is raat ke gunaahon ka azaab dohra hota hai jis tarah nekiyon ka sawaab bhi dohra hota hai. Aur agar koi shakhs alaaniya Shab-e-Juma gunaah karta hai to Parwardigaar us ki zindagi bhar ke gunaahon ka hisaab karta hai aur us ke azaab ko doguna kar deta hai.
Imam Raza Alaihissalam se mo'tabar sanad ke saath naql kiya gaya hai ke Rasool-e-Akram (S) ne farmaya ke Roz-e-Juma afzal tareen roz hai aur Parwardigaar is din nekiyon ke sawaab ko doguna kar deta hai aur gunaahon ko mu'aaf kar deta hai aur insaan ke darajaat ko buland kar deta hai. Du'aon ko qabool karta hai aur ranj wa gham zaa'il kar deta hai. Badi badi haajatein isi din poori hoti hain. Maalik apne bandon par khusoosi meherbani farmata hai aur ek badi jama'at ko Aatish-e-Jahannam se aazaad kar deta hai. Lehaza jo shakhs bhi is din Parwardigaar se du'a kare aur is din ke haq ko aur is din ki hurmat ko pehchaan le Parwardigaar-e-Aalam use Aatish-e-Jahannam se aazaad kar dega aur agar koi shakhs Roz-e-Juma ya Shab-e-Juma mar jaaye to use shaheedon ka sawaab inaayat karega aur Qiyamat ke din azaab-e-ilaahi se mahfooz mahshoor hoga. Lekin agar koi shakhs Juma ki tauheen karega aur us ke haq ko zaaya kar dega ke Namaz-e-Juma adaa na karega ya haraam se parhez na karega to Parwardigaar ke liye laazim hai ke agar tauba na kare to use Aatish-e-Jahannam mein daal de.
Mukhtalif mo'tabar asnaad ke saath Imam Muhammad Baqir a.s. se naql kiya gaya hai ke koi din Roz-e-Juma se behtar nahin hai. Hadd yeh hai ke Juma ke din parinde bhi aapas mein mulaqaat karte hain to salaam kar ke kehte hain ke aaj ka din behtareen din hai. Imam Ja'far Sadiq a.s. se mo'tabar sanad ke saath naql kiya gaya hai ke jo shakhs Juma ka din haasil kare use chahiye ke ibaadat ke alaawa kisi aur amal mein mashghool na ho ke Parwardigaar is din apne bandon ko bakhsh deta hai aur apni rehmat un par naazil kar deta hai. Mukhtasar yeh Roz-o-Shab-e-Juma ke fazaa'il is mukhtasar kitaab mein bayaan karne se kahin zyada hain.