EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Imam Ja'far Sadiq a.s. se naql kiya gaya hai ke Shab-e-Juma mein Muhammad (S) wa Aal-e-Muhammad (S) par salawat padhna hazaar nekiyon ke barabar hai aur Parwardigaar us ki wajah se hazaar buraiyon ko mita deta hai aur insaan ke liye hazaar darajaat ko buland kar deta hai. Mustahab hai Namaz-e-Asr-e-Panjshanbah ke baad se aakhir Roz-e-Juma tak musalsal salawat padhta rahe.
Imam Ja'far Sadiq a.s. se sahih sanad ke saath naql kiya gaya hai ke jab Panjshanbah ke din Asr ka waqt hota hai to malaa'ika aasman se zameen ki taraf sone ke qalam aur chaandi ke auraaq le kar naazil hote hain aur yeh farishte Panjshanbah ki shaam, Shab-e-Juma aur Roz-e-Juma ghuroob-e-aaftaab tak siwaaye Muhammad (S) wa Aal-e-Muhammad (S) par salawat ke aur kisi neki ko darj nahin karte hain.
Sheikh Tusi ra ne farmaya hai ke Panjshanbah mustahab hai hazaar martaba Muhammad (S) wa Aal-e-Muhammad (S) par salawat padhna aur mustahab hai ke is salawat ko is tarah padha jaaye.
اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اٰلِ مُحَمَّدٍ
Khudaaya Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) par rehmat naazil farma
وَ عَجِّلْ فَرَجَهُمْ
un kay sukoon mein ta'jeel farma
وَ اَهْلِكْ عَدُوَّهُمْ
aur un kay dushmanon ko halaak kar day
مِنَ الْجِنِّ وَ الْاِنْسِ
chaahay jinnaat mein say hon ya insaanon mein say,
مِنَ الْاَوَّلِيْنَ وَ الْاٰخِرِيْنَ۔
awwaleen hon ya aakhireen mein.
Is salawat ka Asr-e-Panjshanbah ke baad se aakhir Roz-e-Juma tak sau 100 martaba padhna behtareen fazeelat ka haamil hai.