EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Ma'soomeen Alaihimussalam se mansoob hafton ke din
Sayyid bin Ta'us ra ne Jamaal-ul-Usbu' mein farmaya hai ke Ibn-e-Babawayh Alaih-ur-Rahmah ne apni sanad ke saath Saqar bin Abi Dalf se riwayat ki hai ke
Jab Mutawakkil ne Imam Ali Naqi Alaihissalam ko Saamarra talab kiya to ek din main Hazrat ki khidmat mein haazir hua ke Aap ke haalaat daryaaft karoon. Us waqt Hazrat, Zarraaqi darbaan Mutawakkil ki qaid mein the. Jab main wahan pahuncha to us ne poochha ke kaise aana hua?
Maine kaha ke main Aap ki mulaqaat ke liye haazir hua hoon.
Us ke baad ek saa'at wahan baitha raha aur mukhtalif masaa'il par guftagoo hoti rahi.
Yahan tak ke jab tamam log chale to us ne phir poochha ke kaise aana hua?
Maine phir wahi jawaab diya
To us ne kaha ke shaayad tum apne Maula ki khabar geeri ke liye aaye ho.
Maine dar kar yeh kaha ke mera Maula Khaleefa hai.
Us ne kaha ke khaamosh ho jaao tumhara Maula bar haq hai aur yahi mera e'teqaad bhi hai.
Maine kaha Alhamdulillah.
Us ke baad us ne kaha ke kya tum un se milna chahte ho? Maine kaha beshak, us ne kaha thodi der baith jaao taa ke Saahib-ul-Bureed un ke paas se baahar aa jaaye.
Main muntazir raha yahan tak ke woh shakhs baahar nikal gaya to us waqt us ne ek bachcha ko hukm diya ke mujhe Hazrat ke paas le jaaye.
Jab main Hazrat ke paas pahuncha to maine dekha ke Aap ek chataai par baithe hue hain aur saamne ek qabr khudhi hui hai. Maine salaam kiya. Aap ne jawaab diya aur farmaya ke baith jaao. Us ke baad daryaaft kiya ke kaise aana hua?
Maine kaha ke Aap ki khabar geeri ke liye haazir hua hoon.
Us ke baad jab meri nigaah qabr par padi to main rone laga. Farmaya ke girya na karo. Is waqt mujhe koi nuqsaan nahin pahunch sakta hai.
Maine kaha Alhamdulillah. Us ke baad maine arz kiya ke maine Rasool-e-Akram (S) ki ek hadees suni hai jis ke ma'ni samajh mein nahin aaye hain.
Farmaya woh hadees kya hai?
Maine arz kiya ke Huzoor ne farmaya hai: Ayyam se dushmani na karo ke woh tum se dushmani karenge.
To Aap ne farmaya ke yahan Ayyam aur dinon se muraad hum log hain. Jab tak ke zameen wa aasmaan qaa'im hain. Shanbah Rasool-e-Khuda (S) ka naam hai, Yekshanbah Ameer-ul-Momineen a.s. hain, Do Shanbah Hazrat Hasan a.s. wa Husain a.s. hain, Seh Shanbah Ali bin Husain a.s., Muhammad bin Ali a.s. aur Ja'far bin Muhammad a.s. hain. Chahar Shanbah Musa bin Ja'far a.s., Ali bin Musa a.s. aur Muhammad bin Ali Alaihissalam hain. Aur main hoon Panjshanbah mera farzand Hasan hai aur Juma mere farzand ka farzand hai. Yeh hain Ayyam ke ma'ni. Lehaza khabardaar in se dunya mein dushmani na karna aur na yeh aakhirat mein us ka inteqaam lenge.
Us ke baad farmaya ke ab jaao chale jaao ke tumhare baare mein mutma'in nahin hoon aur darta hoon ke tumhein bhi koi aziyat pahunch jaaye.
Sayyid ra ne isi hadees ko doosri sanad se Qutb Rawandi ra se naql kiya hai aur us ke baad ziyaartein bhi naql ki hain ke Roz-e-Shanbah Rasool-e-Akram (S) ki ziyaarat is tarah ki jaaye.