Sachcha Waaqi'a: Qubool-e-Haajaat
Mu'allif ka bayan hai ke hamare ustaad Siqat-ul-Islam Noori Khuda un ki qabr ko noorani kare ne kitaab "Daar-us-Salaam" mein apne ustaad marhoom khuld maqaam, Aalim-e-Rabbani Al-Haaj Mulla Fath Ali Sultanabadi se naql kiya hai ke Faazil-e-Muqaddas Aakhoond Mulla Muhammad Sadiq Iraaqi, intehaai sakhti, pareshani aur badhaali ke aalam mein the aur koi raasta aasaa'ish wa aaraam ka nahin tha, yahan tak ke ek shakhs ne khwaab mein dekha ke ek waadi mein ek azeem khaima nasb hai aur poochha ke yeh khaima kis ka hai? Logon ne kaha yeh logon ke fariyaad ras aur momineen ke panaah dahinda Hazrat Imam Muntazar 'ajjallalahu farajahum ka khaima hai. Phir fauran Hazrat ki khidmat mein haazir hue aur apne haalaat ki sakhti ka zikr kiya aur Aap se sukoon wa aaraam ke husool aur ranj wa gham ke dafa' karne ke liye kisi du'a ki khwaahish ki. Hazrat ne un ko apni aulaad mein ek Sayyid ke hawaale kar diya. Woh wahan se baahar nikalne ke baad usi khaime mein gaye jis ki taraf Hazrat ne irshaara kiya tha. Dekha ke us mein Sayyid Mo'tamid, Aalim Mo'tabar Janaab Aaqaa'i Sayyid Muhammad Sultanabadi tashreef farma hain aur musalle par baithe hue mashghool-e-du'a qira'at hain. Aakhoond ne Sayyid ko salaam kiya aur haalaat aur soorat-e-haal ka tazkira kiya. Sayyid ne wus'at-e-haalaat aur wus'at-e-rizq ke liye ek du'a ta'leem ki.
Jab woh khwaab se bedaar hue to woh du'a un ke zehen mein mahfooz thi. Woh fauran Sayyid ke paas gaye haalaanke is se pehle un se bezaar aur be-ta'alluq the jaise hi woh Sayyid ki khidmat mein pahunche to dekha isi tarah musalle par baithe hue mashghool-e-zikr wa istighfaar hain jis tarah ke khwaab mein dekha tha. Unhon ne salaam kiya, Sayyid ne jawaab diya aur muskura diye jaise ke unhein soorat-e-haal ki ittila' ho. Aakhoond ne apne haalaat ki behtari ke liye un se du'a ki khwaahish ki. Sayyid ne unhein wahi du'a ta'leem ki jo khwaab mein ta'leem di gayi thi. Aakhoond is du'a mein mashghool ho gaye aur thoda zamaana nahin guzra tha ke har taraf se sahoolaton ka aur aasaaniyon ka silsila shuru hogaya aur har tarah ki sakhti aur badhaali se nijaat mil gayi. Marhoom Al-Haaj Mulla Fath Ali barabar Sayyid ki ta'reef karte the aur unhon ne un se mulaqaat bhi ki thi aur chand dinon shaagirdi bhi ki thi. Reh gayi woh baat jo Sayyid ne khwaab ya bedaari mein Aakhoond ko ta'leem di thi, woh teen cheezein theen.
1. Namaz-e-Subh ke baad seene par haath rakh kar sattar martaba kahe.
Ay Fatah karnay waalay
2. Is du'a ko paabandi se padho ke jo Kaafi mein hai aur woh Hazrat Rasool-e-Akram (S) ne apne ek sahaabi ko ta'leem di hai jo pareshan haali mein mubtila tha aur is du'a ko padhne ki barkat se thode hi zamaane mein us ki saari pareshaniyan bar taraf ho gayeen.
لَا حَوْلَ وَ لَا قُوَّةَ اِلَّا بِاللّٰهِ
Koi taaqat aur tawaana'i Parwardigaar kay baghair nahin hai
تَوَكَّلْتُ عَلَى الْحَيِّ الَّذِيْ لَا يَمُوْتُ
Mera a'timaad usi Khudaay-e-Hayy-o-Qayyoom par hai jis kay liye maut nahin hai.
وَ الْحَمْدُ لِلّٰهِ الَّذِيْ لَمْ يَتَّخِذْ وَلَدًا
Saari hamd usi Allah kay liye hai jis nay koi beta nahin banaaya hai
وَ لَمْ يَكُنْ لَهُ شَرِيْكٌ فِي الْمُلْكِ
aur nah koi us kay mulk mein shareek hai
وَ لَمْ يَكُنْ لَهُ وَلِيٌّ مِّنَ الذُّلِّ
aur nah koi kamzori mein us ka sahaara hai.
وَ كَبِّرْهُ تَكْبِيْرًا۔
Saari buzurgi aur kibriyaa'i usi kay liye hai.
3. Namaz-e-Subh ke baad yeh du'a padho jise Sheikh Ibn-e-Fahd se naql kiya gaya hai. Momineen ko in tamam auraad ki paabandi karni chahiye aur un ke fawaa'id se ghaafil nahin rehna chahiye. Waazih rahe ke namazon ke baad Sajdah-e-Shukr mustahab-e-mu'akkad hai aur us mein bahut si du'a'ein aur zikr waarid hue hain. Imam Raza Alaihissalam se naql kiya gaya hai ke agar chaho to Sajdah-e-Shukr mein sau martaba "Shukran Shukran" kaho aur agar chaho to sau martaba "Afwan Afwan" kaho. Is ke alaawa inheen Hazrat se naql kiya gaya hai ke kam se kam insaan ko sajda mein teen martaba "Shukran Lillahi" kehna chahiye.