Ziyarat Imam Raza Alaihissalam ki Fazilat
Bayan Fazilat wa Kaifiyat Ziyarat Imam Ins wa Jinn Madfoon Sar Zameen-e-Ghurbat Jigar Paarah-e-Sayyid-ul-Waraa Hazrat Ali bin Musa ar-Raza Salawaatullahi 'alaihi wa 'alaa aabaa'ihi wa aulaadihi A'immat-ul-Hudaa
Waazih rahe ke Aap ki ziyarat ke fazaa'il shumaar aur bayan se baala tar hain lekin hum is maqaam par tabarrukan sirf chand riwaayaat ko naql kar rahe hain. Rasool-e-Akram (S) se manqool hai ke Aap ne farmaya ke "Anqareeb mera ek tukda zameen Khuraasaan par dafn hoga. Jo momin us ki ziyarat karega Parwardigaar behisht ko us ke liye waajib aur jahannam ki aag haraam kar dega." Doosri mo'tabar hadees mein Huzoor (S) ne farmaya ke "Mera ek tukda Khuraasaan mein dafn hoga. Jo ranjeeda us ki ziyarat karega Parwardigaar us ke ranj ko zaa'il kar dega aur jo gunahgaar ziyarat karega us ke gunaahon ko bakhsh dega."
2. Sanad mo'tabar se manqool hai ke Imam Musa bin Ja'far a.s. ne farmaya ke "Jo shakhs mere farzand Ali a.s. ki ziyarat karega Allah ke yahan us ko sattar Hajj-e-Maqbool ka sawaab milega." Raavi ne hairat se poochha ke "Sattar Hajj?" Farmaya "Bal ke sattar hazaar!" Us ne kaha ke "Sattar hazaar Hajj?" Farmaya ke "Bahut se Hajj maqbool bhi nahin hote hain magar yeh ziyarat be-har haal maqbool hai." "Jo shakhs Hazrat ki ziyarat kare ya ek shab wahaan qiyaam karega woh aisa hoga jaise Arsh-e-Ilaahi par Parwardigaar ki ziyarat ki hai." Arz ki ke "Jaise Parwardigaar ki ziyarat ki hai?" Farmaya "Beshak Roz-e-Qiyaamat Arsh-e-Ilaahi par chaar afraad awwaleen ke aur chaar afraad aakhireen ke jagah paayenge. Guzhishta daur ke Nooh a.s. wa Ibraheem a.s. aur Musa a.s. wa Isa a.s. aur aakhri daur ke Hazraat Muhammad (S) wa Ali a.s. wa Hasan a.s. wa Husain a.s. aur us ke baad Arsh ke paaya se ek rassi kheench di jaayegi aur hamare saath hamare hamare Aimma a.s. ki quboor ke zaa'ireen baithenge aur yaqeenan mere farzand Ali a.s. ki ziyarat karne walon ka darjah tamaam logon se buland tar hoga aur un ke 'ataaya bhi har ek se beshtar honge."
3. Khud Imam Raza a.s. se riwayat hai ke "Khuraasaan mein hamare liye ek jagah hai jahaan ek daur aayega aur musalsal malaa'ika ki raft wa aamad hogi ke ek fauj aati rahegi aur ek jaati rahegi jab tak ke Soor-e-Israfeel na phoonk diya jaaye." Poochha gaya ke "Ya Ibn-e-Rasoolullah woh jagah kahan hai?" Farmaya "Woh zameen Toos hai jo Jannat ke baaghaat mein se ek baagh hai jo is jagah meri ziyarat karega woh waise hi hoga jaise Rasool-e-Akram (S) ki ziyarat ki ho aur Parwardigaar is ziyarat ke sila mein use hazaar pasandeeda Hajj aur hazaar maqbool Umrah ka sawaab dega aur main aur mere aabaa wa ajdaad us ki shafa'at karenge."
4. Mukhtalif asnaad sahiha se Abū Nasr se manqool hai ke maine Imam Raza a.s. ka woh khat padha jis mein Aap ne apne shi'on ko paighaam diya tha ke meri ek ziyarat Khuda ke nazdeek hazaar Hajj ke baraabar hai. Maine is hadees ko Imam Muhammad Taqi a.s. ke saamne pesh kiya to farmaya ke "Yaqeenan bal ke hazaar hazaar das hazaar Hajj ke baraabar hai agar koi shakhs Hazrat ki ziyarat ma'rifat ke saath kare."
5. Do sanad-e-mo'tabar ke saath naql kiya gaya hai ke Imam Raza a.s. ne farmaya ke "Jo meri ziyarat karega, main Roz-e-Qiyaamat teen maqaamaat par us ke paas aaoonga taa ke use haul-e-Qiyaamat se nijaat dila sakoon. Us waqt jab naik afraad ka naama-e-a'maal daahne haath mein hoga aur bad-amalon ka naama-e-a'maal baayein haath mein diya jaayega aur Siraat par aur Meezaan par."
6. Doosri mo'tabar hadees mein farmaya ke "Anqareeb main zulm wa sitam ke saath zehr-e-daghaa se shaheed kiya jaoonga aur Haaroon Rasheed ke pehloo mein dafn hoonga aur Parwardigaar meri qabr ko chaahne walon ki raft wa aamad ki manzil bana dega lehaza jo bhi is ghurbat mein meri ziyarat kar lega us ke liye mujh par laazim ho jaayega ke main Roz-e-Qiyaamat us ki ziyarat karoon aur main us Khuda ki qasam khaata hoon jis ne Paighambar ko Paighambar banaaya hai aur tamaam makhlooqaat par muntakhab qaraar diya hai ke tum shi'on mein se jo bhi meri qabr ke paas aa kar do raka'at namaz adaa karega aur is baat ka haq daar hoga ke us ke gunaahon ko Roz-e-Qiyaamat mu'aaf kar diya jaaye. Is Khuda ki qasam jis ne hum ko muhtaram banaaya hai اور Hazrat Muhammad (S) ke baad hamein imaamat aur wasaayat ka sharaf diya hai ke meri qabr ki ziyarat karne waale Roz-e-Qiyaamat tamaam girohon se zyada muhtaram honge aur jo momin bhi meri ziyarat karega aur us ke sir par ek qatra baarish ka gir jaayega to us ke jism ko Aatish-e-Jahannam par haraam kar diya jaayega."
7. Sanad mo'tabar ke saath manqool hai ke Muhammad bin Salmaan ne Imam Muhammad Taqi a.s. se daryaaft kiya ke "Jis shakhs ne apna Hajj waajib ba-unwaan Hajj-e-Tamattu' kar liya hai aur Madeenah jaa kar Ziyarat-e-Rasool-e-Akram (S) kar li hai aur phir Najaf mein Ziyarat-e-Ameer-ul-Momineen a.s. kar li hai aur un ke haq ko pehchaanta bhi hai aur jaanta hai ke woh Hujjat-e-Khuda hain aur unheen ke zariye Khuda tak pahuncha jaa sakta hai aur us ke baad Hazrat ko salaam kar ke Karbala gaya hai aur Imam Husain a.s. ki ziyarat ki hai اور Baghdad jaa kar Imam Musa Kazim a.s. ki ziyarat ki hai aur phir apne sheher palat aaya hai aur us ke baad Khuda ne use is qadar maal ata farma diya hai ke dobaarah Hajj ke liye bhi jaa sakta hai to is shakhs ke liye kya behtar hai? Hajj waajib ke baad dobaarah Hajj ke liye jaaye ya Khuraasaan jaa kar Aap ke waalid buzurgwaar ki ziyarat kare?" Farmaya "Mere padar-e-buzurgwaar ko salaam kare. Yahi afzal hai aur behtar hai yeh Maah-e-Rajab mein ho aur Hajj ke zamaana mein na ho ke yeh khaleefa ki taraf se hamein aur tumhein ta'ne dene ka bahaana ho jaayega."
8. Sheikh Sadooq ra ne Kitaab Man Lā Yahdur-ul-Faqīh mein Imam Muhammad Taqi a.s. se riwayat ki hai ke Hazrat ne farmaya ke "Toos ke do pahaadon ke darmiyaan zameen ka ek tukda hai jo Jannat se uthaaya gaya hai jo yahan daakhil ho jaayega woh Roz-e-Qiyaamat Aatish-e-Jahannam se mahfooz ho jaayega."
9. Inheen Hazrat se riwayat hai ke "Main Parwardigaar ki taraf se har us shakhs ke liye behisht ka zaamin hoon jo mere padar-e-buzurgwaar ki Toos mein ziyarat kare bashartike un ke haq ka 'aarif ho."
10. Sheikh Sadooq ra ne Uyoūn Akhbār ar-Rizā mein riwayat ki hai ke ek mard-e-saaleh ne Rasool-e-Akram (S) ko khwaab mein dekha aur arz ki ke "Ya Rasoolullah Aap ke farzandon mein kis ki ziyarat karoon?" Farmaya ke "Mere ba'z farzandon ko zehr diya gaya hai aur ba'z ko shaheed kiya gaya hai." Arz ki ke "Un mein se main kis ki ziyarat karoon jab ke un ke mashaahid-e-muqaddasah muntashir hain?" Farmaya "Us ki ziyarat karo jo tum se nazdeek tar hai ya'ni tumhari jagah us ki qabr ke qareeb tar hai اور woh Arz-e-Ghurbat par dafn kiya gaya hai." Maine kaha "Kya Aap ki muraad Hazrat Raza a.s. hain?" Farmaya "Sallallahu 'alaihi kaho. Sallallahu 'alaihi kaho. Sallallahu 'alaihi kaho."
Mu'allif: Wasaa'il wa Mustadrak mein mukhtalif abwaab hain. Mashhad Imam Raza a.s. aur mashaahid Aimma a.s. se barakat haasil karne ke liye aur Ziyarat Imam Raza a.s. ko Ziyarat Imam Husain a.s. aur jumla Aimma a.s. ki ziyarat ke muqaable mein ikhtiyaar karne ke liye bal ke Hajj mustahab par muqaddam karne ke liye magar chunke is kitaab mein is se zyada ki gunjaa'ish nahin hai lehaza maine unheen das riwayat par iktefa kar li hai jo 'Ashara-e-Kaamila ki haisiyat rakhti hai.