Imam Zainul Aabideen Alaihissalam ka Imam Ali Alaihissalam ki Ziyarat ke liye aana
Mu'allif: Sayyid Abdul Kareem bin Ta'us ra ne Farhat-ul-Ghurri mein riwayat ki hai ke Hazrat Imam Zainul Aabideen a.s. waarid-e-Koofa ho kar daakhil-e-Masjid hue aur us waqt Masjid mein Abu Hamza Sumaali maujood the jo Koofa ke zaahidon aur mashaa'ikh mein the. Imam a.s. ne do raka'at namaz adaa ki to Abu Hamza kehte hain ke is se behtar lehja nahin suna tha. Main qareeb gaya taa ke sun sakoon ke woh kya keh rahe hain to Imam Alaihissalam keh rahe the.
فَاِنِّيْ قَدْ اَطَعْتُكَ فِيْ اَحَبِّ الْاَشْيَاۤءِ اِلَيْكَ
Yeh mash'hoor du'a hai. Mu'allif ka bayan hai ke is du'a ka tazkira A'maal-e-Koofa ke zail mein aayega. Abu Hamza kehte hain ke phir Imam saatwein ustoon (pillar) ke paas tashreef laaye aur na'lain utaar kar khade hue aur haathon ko kaan ke bil muqaabil buland kiya aur is tarah Allahu Akbar kaha ke dehshat se mere jism ke tamaam royen khade ho gaye. Phir unhon ne chaar raka'at namaz nihaayat khuloos ke ruku wa sujood ke saath adaa ki. Phir yeh du'a padhi.
Aakhir du'a tak aur saabiq ki riwayat ke mutabiq Imam khade hue aur chale gaye. Abu Hamza kehte hain ke main un ke saath Manaakh-e-Koofa tak gaya. Yeh woh jagah hai jahaan oonthon ko bithaya (naaqa) tha. Maine poochha "Aye Siyaah-faam shakhs! Yeh kaun hain?" Us ne kaha ke "Tum unhein khasaa'il wa 'alaamaat se nahin pehchaante ho. Yeh Ali bin al-Husain a.s. hain." Abu Hamza kehte hain ke maine apne ko un ke qadmon mein daal diya aur bosa diya. Phir unhon ne khud mere sir ko utha kar farmaya. "Masjid-e-Koofa Khuda ke liye hai." Maine kaha "Farzand-e-Rasool (S) Aap yahaan kis liye aaye hain?" Farmaya ke "Is liye jo tum ne dekha ya'ni Masjid-e-Koofa mein namaz padhne ke liye. Agar logon ko ma'loom ho jaaye is ki fazeelat to log yahaan aayenge chahe bachchon ki tarah zameen par ghisat kar aayen ya'ni chahe safar mein un ko kitni bhi takleef ho jaise ke bachche raasta chalne ke bajaaye baith kar chalte hain. Kya tum chahte ho ke mere saath mere daada Ali Murtaza a.s. ki ziyaarat karo?" Maine kaha "Jee haan." Imam chale aur main un ke naaqa ke saaya mein jaa raha tha. Woh mujh se baat kar rahe the, yahan tak ke Ghurrayyain mein pahunche. Ek safed buq'ah tha jis se noor nikal raha tha. Aap oonth se utar kar paidal ho gaye aur phir apne rukhsaron ko zameen par rakh kar farmaya, "Aye Abu Hamza! Yeh mere jadd buzurgwaar Ali Murtaza a.s. ki qabr hai." Imam a.s. ne wahi ziyaarat jis ki ibteda hai
اَلسَّلَامُ عَلَى اسْمِ الله الرَّضِىِّ
وَ نُوْرِ وَجْهِهِ الْمُضِیۤئِ
padhi. Phir is qabr mutahhar se rukhsat ho kar Madeenah ki jaanib rawaana ho gaye aur main Koofa chala aaya. Mu'allif ka kehna hai ke Sayyid ra ke is ziyaarat ko Farhah mein zikr na karne se ta'ajjub hai. Main is ki talaash mein tha yahan tak ke ek Ziyarat-e-Ameer-ul-Momineen a.s. ki dekhi magar us ke aaghaz mein mazkoora donon jumle nahin the albatta us mein pehla jumla tha aur doosra jumla mukhtalif hai. Shaayad yeh wahi ziyaarat ho aur itna ikhtilaaf koi khaas baat nahin hai aur agar yeh kahein ke is ziyaarat ki ibteda
hai na ke
to main kahunga ke aaghaz-e-ziyaarat jumla
aur salaam saabiq idhn-e-dukhool aur talab-e-rukhsat ki manzilein hain hai aur shaayad isi matlab ki mutaabiqat hai Ziyarat-e-Roz-e-Maulood se jo bahut zyada mushaabehat rakhti hai aur yeh bhi waazih rahe ke chhatti ziyaarat aur Ziyarat-e-Roz-e-Maulood mein yeh do jumle baghair lafz “Noor” ke hain lekin ziyaarat ke shuru mein nahin hain aur Allah behtar jaanta hai. Mukhtasar yeh ke ziyaaraat-e-mutlaqa mein se hamare liye yahi saat ziyaartein kaafi hain aur agar kisi ko zyada ki khwaahish ho to Ziyarat-e-Jaame'a padhe aur toolani ziyaarat jo is ke baad Roz-e-Ghadeer ke liye naql kar rahe hain woh padhe is liye ke riwayat mein waarid hua hai ke is ziyaarat padhne ko ghaneemat samajhna chahiye aur is Haram-e-Mutahhar mein namaz ko bhi, is liye ke Aap a.s. ki qabr ke paas namaz padhna do laakh namazon ke baraabar hai aur Imam Ja'far Sadiq a.s. se manqool hai ke jo shakhs Imam Muftaraz-ut-Taa'ah ki ziyaarat kare aur namaz padhe qabr ke nazdeek chaar raka'at to us ke liye Hajj aur Umrah ka sawaab likha jaayega aur hum ne Hadiyat-uz-Zaa'ireen mein qabr-e-Imam Ali a.s. ki mujaawarat ki fazeelat likhi hai lekin is shart ke saath ke Aap ke haq-e-jawaar ka lihaaz rakhe aur yeh be-had mushkil kaam hai aur har ek ke liye mumkin nahin hai yahan us ke zikr ka maqaam bhi nahin hai. Khwaahishmand afraad ko Kalima-e-Tayyibah ki taraf rujoo' karna chahiye.