EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Aadaab-e-Ziyarat
Yun to aadaab bahut hain lekin is maqaam par mukhtasar taur par sirf chand aadaab ka zikr kiya ja raha hai.
1. Safar-e-Ziyarat mein nikalne se pehle ghusl kare.
2. Raasta mein koi be-hooda guftugu, laghw baat aur jhagde ki guftugu na kare.
3. Jis Imam ki ziyaarat ke liye ja raha hai us ki ziyaarat ka ghusl kare aur woh du'a padhe jo is mauqa' par waarid hui hai aur jis ka zikr Ziyarat-e-Waarisa ke aaghaz mein hoga.
4. Apne ko har hadath-e-akbar wa asghar se paak rakhe.
5. Paak wa paakeeza kapde pehne aur behtar yeh hai ke kapdon ka rang safed ho.
6. Rauza-e-Muqaddas ki taraf jaate waqt aahista qadam uthaaye, sukoon wa waqaar ke saath chale. Khuzu' wa khushoo' ke saath qadam aage badhaaye. Sir jhuka kar baghair daahne baayein dekhe hue Rauza-e-Mubaarak ki taraf aage badhe.
7. Ziyarat-e-Imam Husain a.s. ke alaawa har ziyaarat mein khushboo iste'maal kare.
8. Haram-e-Mutahhar ki taraf jaate waqt tasbeeh wa tahleel wa zikr-e-Khuda mein mashghool rahe aur Muhammad (S) wa Aal-e-Muhammad (S) par salawaat bhejta rahe.
9. Haram Mubaarak ke darwaaze par pahunch kar idhn-e-dukhool talab kare aur koshish kare ke aise mauqa' par dil narm ho. Khuzu' wa khushoo' paida ho jaaye. Azmat wa jalaalat-e-Saahib-e-Marqad-e-Munawwar ke baare mein ghaur kare aur yeh yaad rakhe ke saahib-e-qabr use dekh raha hai aur us ke kalaam ko sun raha hai aur us ko jawaab bhi de raha hai jis ki woh khud ziyaarat ke kalimaat mein gawaahi deta hai. Is ke baad us lutf wa mohabbat ke baare mein ghaur kare ke jo saahib-e-qabr ko apne Shi'on aur zaa'ireen se hai phir apni haalat ki kharaabi aur un buzurgon ke ehkaam alaa'hidgi ko yaad kare aur un ta'leemaat ko yaad kare jo nahin seekh saka aur un takleefon ko yaad kare jo us ki taraf se un buzurgon ya un ke doston tak pahunchi hain jis ke nateeja mein un hazraat ko takleef hoti hai. Agar insaan waaqi'an in baaton par ghaur kare to shaayad us ke qadam bhi aage na badh saken ge aur dil bhi laraz jaayega. Aankhon se aansoo bhi jaari ho jaayenge aur yahi tamaam aadaab ki rooh hain. Munaasib hai ke is maqaam par Sakhaawi ke un ash'aar ka zikr kiya jaaye aur is riwayat ko naql kiya jaaye jis ko Allama Majlisi ra ne Bihaar mein Kitaab-e-Uyoon-ul-Mo'jizaat se naql kiya hai. Sakhaawi ke un ash'aar ko zehen mein rakhna intehaai munaasib hai jo har zaa'ir ki zabaan-e-haal hai (Poetry line is omitted in transliteration)
قَالُوْا غَدًا نَأْتِيْ دِيَارَ الْحِمٰى
وَ يَنْزِلُ الرَّكْبُ بِمَغْنَاهُمُ
فَكُلُّ مَنْ كَانَ مُطِيْعًا لَهُمْ
اَصْبَحَ مَسْرُوْرًا بِلُقْيَاهُمُ
قُلْتُ فَلِيْ ذَنْبٌ فَمَا حِيْلَتِيْ
بِاَيِّ وَجْهٍ اَتَلَقَّاهُمُ
قَالُوْا اَ لَيْسَ الْعَفْوُ مِنْ شَأْنِهِمْ
لَا سِيَّمَا عَمَّنْ تَرَجَّاهُمُ
فَجِئْتُهُمْ اَسْعٰىۤ اِلٰى بَابِهِمْ
اَرْجُوْهُمُ طَوْرًا وَ اَخْشَاهُمُ
Allama Majlisi ra ki riwayat hai ke jab Ibraheem Jammaal jo Imam a.s. ke chaahne waalon mein the Ali bin Yaqteen ke paas aaye aur Ibraheem us waqt ek saaarbaan the aur Ali bin Yaqteen Haaroon Rasheed ke wazeer the to zaahir hai ke Ibraheem ke haalaat aise nahin the ke Ali bin Yaqteen ki bazm mein waarid ho saken lehaza logon ne un ko raasta nahin diya aur ittifaaqan isi saal Ali bin Yaqteen Hajj ke liye gaye aur Madeenah mein Imam Musa Kazim a.s. ki khidmat mein haazir hue to Hazrat ne un ko ijaazat nahin di aur doosre din ghar ke baahar Ali bin Yaqteen se mulaqaat ho gayi to unhon ne arz ki ke Sarkar meri kya taqseer hai ke mujhe Aap ne mulaqaat ka mauqa' nahin diya? Farmaya ke tum ne apne eemaani bhai Ibraheem Jammaal ko raasta nahin diya tha. Parwardigaar tumhari sa'i ko qabool nahin kar sakta jab tak Ibraheem tum ko mu'aaf na kar dein.
Ibn-e-Yaqteen kehte hain ke maine arz kiya ke Huzoor main us waqt Ibraheem se kahan mulaqaat kar sakta hoon. Main Madeenah mein hoon aur woh Koofa mein hain. Aap ne farmaya ke jab raat ho jaaye to akele Baqee' tak jaana ke tumhare saath koi doosra aadmi na ho. Us waqt tumhein ek oonth nazar aayega. Us par tum sawaar ho jaana. Woh tumhein Koofa le jaayega. Ali bin Yaqteen raat ke waqt Baqee' mein gaye aur usi oonth par sawaar ho kar chand lamhon mein Ibraheem Jammaal ke darwaaza par pahunch gaye. Oonth ko bithaya. Daqq-ul-Baab kiya. Ibraheem ne poochha kaun? Kaha main Ali bin Yaqteen! Ibraheem ne kaha ke Ali bin Yaqteen mere darwaaze par kyun aayenge? Kaha tum se ek bahut zaroori kaam hai aur phir unhein qasam dilaai ke ghar mein daakhila ki ijaazat de dein. Jab ijaazat mil gayi to Ali bin Yaqteen ne kaha ke Ibraheem! Mere aaqa wa Maula ne farmaya hai ke mera koi amal us waqt tak qabool na hoga jab tak tum mujhe mu'aaf na kar do ge. Ibraheem ne kaha Allah tum ko mu'aaf kar de. Ali bin Yaqteen ne apne chehra ko khaak par rakha aur Ibraheem ko qasam di ke apne pair rukhsar par rakh dein. Ibraheem ne inkaar kiya. Ali bin Yaqteen ne dobaarah qasam di. Ibraheem ne apne qadam Ali bin Yaqteen ke rukhsar par rakh diye aur us waqt Ali bin Yaqteen ne kaha. Khuda gawaah rehna. Is ke baad baahar aaye to usi oonth par sawaar ho gaye aur usi raat Madeenah pahunch gaye. Oonth ko Hazrat Imam Musa Kazim a.s. ke darwaaza par bithaya aur Hazrat ne fauran ijaazat de di. Jab waarid ho kar waaqi'a bayan kiya to Aap ne use qabool farma liya. Jis se andaaza hota hai ke baradaraan-e-eemaani ke huqooq kis qadar ahmiyat rakhte hain.
10. Rauza ki chaukhat ko bosa de kar Sheikh Shaheed ra ne farmaya hai ke agar koi ziyaarat karne jaaye to sajdah-e-shukr kare us niyat se ke Parwardigaar ne use is makaan-e-muqaddas tak pahuncha diya hai.
11. Daahne pair se daakhil hote hue aur baayein pair ko baahar nikaalte waqt aage badhaaye jis tarah masjidon mein hota hai.
12. Zareeh mutahhar ke paas jaaye aur agar mumkin ho to khud ko zareeh mutahhar se mila de. Yeh sochna ke door khada hona hi koi adab hai, yeh ghalat hai, is liye ke riwayat mein hai ke zareeh ka bosa dena aur us se tek laga kar khade hona behtareen amal hai.
13. Ziyarat ke waqt qibla ko apni pusht par rakhe aur rukh qabr mutahhar ki taraf rakhe ke yeh adab qabr Ma'soom se ta'alluq rakhta hai. Ziyarat khatm karne ke baad daahne rukhsar ko qabr par rakhe aur ba-kamaal-e-khuzu' du'a kare. Is ke baad baayein rukhsar ko zameen par rakhe aur Parwardigaar ko saahib-e-qabr ka waasta de kar guzaarish kare ke saahib-e-qabr ki shafa'at se mahroom na kar. Is ke baad du'a wa zaari ke saath sar-e-aqdas ki simt jaaye aur roo ba qibla khade ho kar du'a kare.
14. Ziyarat padhte waqt agar koi uzr nahin hai aur kamzori, dard-e-kamar ya pairon mein takleef nahin hai to khade ho kar ziyaarat padhe.
15. Qabr mutahhar ko dekhne ke baad ziyaarat shuru karne se pehle takbeer padhe jaisa ke riwayat mein hai ke agar koi Imam ke saamne pahunch kar takbeer padhe aur kahe ke
لَاۤ اِلٰهَ اِلَّا اللهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيْكَ لَهُ
to Parwardigaar us ko apni azeem Raza inaayat farma dega.
16. In ziyaaraton ko padhe jo Hazraat Ma'soomeen a.s. se naql ki gayi hain aur in ziyaaraton se parhez kare jin ko be-khabar awaam ne apne paas se taiyaar kar liya hai aur jaahil afraad unhein ziyaaraton ko padh rahe hain.
Sheikh Kulayni ra ne Abdul Raheem Qaseer se riwayat ki hai ke main Imam Sadiq a.s. ki khidmat mein haazir hua aur maine kaha ke meri jaan Aap par qurbaan. Main ne ek du'a ijaad ki hai. To farmaya ke apni du'aon ko door rakho. Agar zaroorat tumhare saamne aa jaaye to do raka'at namaz padho aur us ko Rasool-e-Akram (S) ko hadiya karo aur du'a karo.
17. Namaz-e-Ziyarat baja laaye jo kam se kam do raka'at hai aur Sheikh Shaheed ra ne farmaya hai ke Ziyarat-e-Paighambar (S) ki namaz ko rozah ke andar padhna chahiye aur agar kisi Imam ke Haram mein hai to namaz ko baala-e-sar anjaam de aur agar Haram ki Masjid mein adaa karna chahe to woh bhi ho sakta hai. Allama Majlisi ra ne farmaya hai ke Namaz-e-Ziyarat waghera ko mere khayaal se pusht-e-qabr ya baala-e-sar padhna behtar hai. Allama Bahr-ul-Uloom ne bhi Durrah mein yahi farmaya hai
وَ مِنْ حَدِيْثِ كَرْبَلَا وَ الْكَعْبَةِ
لِكَرْبَلَا بَانَ عُلُوُّ الرُّتْبَةِ
وَ غَيْرُهَا مِنْ سَاۤئِرِ الْمَشَاهِدِ
اَمْثَالُهَا بِالنَّقْلِ ذِيْ الشَّوَاهِدِ
وَ رَاعِ فِيْهِنَّ اقْتِرَابَ الرَّمْسِ
وَ اٰثِرِ الصَّلَاةَ عِنْدَ الرَّأْسِ
وَ صَلِّ خَلْفَ الْقَبْرِ فَالصَّحِيْحُ
كَغَيْرِهِ فِيْ نَدْبِهَا صَرِيْحٌ
وَ الْفَرْقُ بَيْنَ هٰذِهِ الْقُبُوْرِ
وَ غَيْرِهَا كَالنُّوْرِ فَوْقَ الطُّوْرِ
فَالسَّعْيُ لِلصَّلَاةِ عِنْدَهَا نُدِبَ
وَ قُرْبُهَا بَلِ اللُّصُوْقُ قَدْ طُلِبَ
18. Namaz-e-Ziyarat mein pehli raka'at mein Surah Yasin aur doosri mein Surah al-Rahman padhe. Agar is ke alaawa koi makhsoos kaifiyat waarid na hui ho. Namaz ke baad jo du'aein waarid hui hain un du'aon ko padhe aur jo kuch bhi deen wa dunya ke liye mufeed ho aur apni du'a ko deegar afraad ke liye aam banaaye ke qabooliyat se zyada qareeb tar hai.
19. Sheikh Shaheed ra ne farmaya hai ke agar koi shakhs Haram-e-Mutahhar mein daakhil ho aur dekhe ke namaz-e-jama'at ho rahi hai to ziyaarat se pehle namaz adaa kare warna aam haalaat mein pehle ziyaarat padhe is liye ke asal maqsad wahi hai lekin agar ziyaarat ke dauraan namaz shuru ho jaaye to zaa'ireen ke liye behtar yahi hai ke ziyaarat ko qat' kar dein aur namaz ko adaa karein is liye ke namaz ko tark kar dena naa munaasib hai aur Haram ke zimmedaaron ko bhi chahiye ke logon ko namaz ki taraf mutawajjeh karein.
20. Sheikh Shaheed ra ne Aadaab-e-Ziyarat mein tilaawat-e-Quran ko bhi shaamil kiya hai, jis ka sawaab us Imam ki rooh-e-mutahhar ko hadiya kiya jaayega aur us ka faayda be-har haal usi ko hoga jo ziyaarat karne waala hai.
21. Naa munaasib baatein aur laghw aur be-hooda kalimaat ko tark kare aur dunya ki baaton mein mashghool na ho kar yeh deegar maqaamaat par bhi munaasib nahin hain chih jaaike is muhtaram wa muqaddas maqaam par jis ki jalaalat wa buzurgi ki khabar Surah Noor mein di gayi hai
“Fee buyootin azinallahu an turfa’a” In ki bulandi ka hukm Parwardigaar ne diya hai.
22. Waqt-e-Ziyarat aawaaz ko zyada buland na kare jaisa ke Hadiyyatuz-Zaa'ireen mein zikr kiya gaya hai.
23. Haram se baahar jaate waqt jo du'aein manqool hain unhein du'aon ke zariye Imam ko Wida' kare.
24. Apne gunaahon ke liye tawbah wa istighfaar kare aur ziyaarat ke baad apne kirdaar ko pehle se behtar banaane ki koshish kare.
25. Jahan tak mumkin ho aastaana-e-mubaarak ke khaadimon par maal kharch kare aur munaasib yeh hai ke wahaan ke khuddam saahibaan-e-khair wa islaah aur saahibaan-e-deen wa sharaafat hon aur jo kuch bhi zaa'ireen ki taraf se ziyadatiyaan ya kotaahiyaan hon unhein bardaasht karein aur apne ghussa ko zabt karein aur kisi tarah ki sakhti aur durushti se kaam na lein bal ke muhtaaj hain un ki haajaton ko poora karein aur jo ajnabi hain un ki rahnumaai karein aur agar koi raasta gum kar gaya hai to use manzil tak pahunchaane ki koshish karein aur haqeeqatan jaise khuddam hone chahiye waise khadim banein aur jo Haram ke zarooriyaat hain safaai, hifaazat aur zaa'ireen ki hifaazat, in tamam faraa'iz ko anjaam dein.
26. Fuqaraa wa masaakeen jo Imam ke sheher mein aabaad hain khusoosan saadaat aur ahl-e-ilm woh log jo ghurbat aur tangdasti mein mubtila hain aur watan chhod kar musalsal sha'aa'ir-e-Allah ki ta'zeem ka parcham uthaaye hue hain un par maal kharch karein aur un ke saath achha bartaa'o karein.
27. Sheikh Shaheed ra ne farmaya hai ke aadaab-e-ziyaarat mein ek yeh bhi hai ke waapas jaane mein jaldi kare aur jab ziyaarat mein apna hissa haasil kar liya to mazeed ehteraam ke pesh-e-nazar fauran waapas ho jaaye taa ke dobaarah aane ka shauq baaqi rahe. Khusoosiyat ke saath jab auratein ziyaarat karna chahein to unhein chahiye ke apne ko mardon se alag rakhein aur tanhaai mein ziyaarat karein aur agar raat ka waqt ho to zyada behtar hai. Aur unhein yeh bhi chahiye ke apni waza' ko badal kar ya'ni behtareen aur khoobsurat libaas ke bajaaye ma'mooli libaas pehan kar jaayen taa ke logon ki nigaah na pade aur khaamoshi se baahar aa jaayen taa ke kam se kam log un ko dekhein ya pehchaanein. Mardon ke majma' mein ziyaarat karna jaa'iz hai lekin be-har haal us ka sawaab yaqeenan kam ho jaayega.