Fazilat-e-Masjid-e-Koofa
Masjid-e-Koofa ki waaqi'i fazeelat bayaan se baahar hai aur us ke liye yahi kaafi hai ke un chaar masjidon mein hai jin ki taraf safar karne aur un ki fazeelat haasil karne ki ta'keed ki gayi hai aur un maqaamaat par musaafir ko qasr aur itmaam ka ikhtiyaar diya gaya hai aur wahaan ki Namaz-e-Fareeza ek Hajj-e-Maqbool aur hazaar namazon ke baraabar hai jo doosre maqaam par adaa ki jaayen. Aur riwayat mein waarid hua hai ke Masjid-e-Koofa mahall-e-namaz-e-Ambiyaa wa Mursaleen hai aur yahi mahall-e-namaz-e-Imam Mehdi a.s. qaraar paayegi. Aur riwayat mein yeh bhi hai ke yahaan hazaar paighambaron aur hazaar awsiyya ne namaz adaa ki hai bal ke ba'z riwaayaat ke mutaabiq Masjid-ul-Aqsa se bhi afzal hai jo Bait-ul-Muqaddas mein hai. Ibn-e-Qaulawayh ne Imam Muhammad Baqir a.s. se riwayat ki hai ke agar logon ko ma'loom ho jaaye ke Masjid-e-Koofa ki fazeelat kya hai to yaqeenan door daraaz ilaaqon se zaad faraham kar ke is Masjid mein zaroor haazri denge aur farmaya is Masjid mein Namaz-e-Waajib ek Hajj-e-Maqbool ke baraabar aur Namaz-e-Naafila ek Umrah ke misl hai jo Rasool-e-Akram (S) ke saath anjaam diya jaaye. Sheikh Kulayni ra waghera ke mashaa'ikh-e-izaam ke hawaala se Haaroon bin Khaarija se riwayat ki hai ke Imam Sadiq a.s. ne mujh se farmaya ke Haaroon tumhare aur Masjid-e-Koofa ke darmiyaan kis qadar masaafat hai, kya ek meel hogi? Maine arz ki "Nahin" farmaya "To phir namazein wahaan adaa nahin karte ho?" Arz ki "Nahin" farmaya "Agar main is Masjid ke nazdeek hota to mujh se koi namaz bhi faut na hoti aur main tamaam namazein wahin adaa karta. Kya tum jaante ho ke is jagah ki fazeelat kya hai? Koi banda-e-saaleh aur Paighambar aisa nahin hai jis ne wahaan namaz adaa na ki ho. Yahan tak ke Rasool-e-Akram (S) jis raat Me'raaj par tashreef le gaye Jibreel ne arz ki ke Ya Rasoolullah Aap ko ma'loom hai ke Aap kahan hain? Us waqt Aap Masjid-e-Koofa ke muqaabla mein hain to Hazrat ne Parwardigaar se ijaazat talab ki do raka'at namaz adaa karein aur Jibreel ne Maalik se ijaazat le kar Hazrat ko khabar di. Aap wahaan tashreef le gaye aur do raka'at namaz adaa ki. Yaad rakho is ke daahni taraf Jannat ke baaghaat mein se ek baagh hai aur is ke darmiyaan bhi ek baagh-e-Jannat hai aur is ke peechhe bhi ek baagh-e-Jannat hai. Yaqeenan is mein Namaz-e-Waajib hazaar namazon ke baraabar hai aur Namaz-e-Naafila paanch sau (500) namazon ke baraabar hai aur wahaan baithna bhi ibaadat hai aur agar tum ko ma'loom ho jaaye ke wahaan kya fazeelat paayi jaati hai to chahe bachchon ki tarah ragadte hue aao magar zaroor aao ge." Is riwayat mein hai ke wahaan Namaz-e-Waajib ek Hajj ke baraabar hai aur Namaz-e-Naafila ek Umrah ke baraabar hai.
Hazrat Ameer-ul-Momineen a.s. ki saatwein ziyaarat ke zail mein bhi is Masjid ke fazaa'il ki taraf ishaara kiya ja chuka hai aur ba'z riwaayaat se ma'loom hota hai ke is Masjid ka daayaan hissa baayein hissa se zyada afzal hai.