Isi Masjid ke paas un ke bhai Sa'sa'ah bin Souhaan ki Masjid hai jo Ameer-ul-Momineen a.s. ke ashaab mein aur Aap ke haq ke aarifīn mein the. Buzurg ahl-e-eemaan mein the aur intehaai faseeh wa baleegh the. Ameer-ul-Momineen a.s. un ko Khateeb-e-Shahshih kaha karte the aur un ki fasaahat wa balaaghat ki ta'reef farmaya karte the. Un ki ek ta'reef yeh bhi hai ke kharch kam karte the aur imdaad zyada karte the. Jis raat Ameer-ul-Momineen a.s. dunya se rukhsat hue aur Imam ke farzand janaaza ko Koofa se Najaf ki taraf le kar chale to Sa'sa'ah ra bhi mushai'yat karne walon mein shaamil the. Dafan se faarigh hone ke baad Sa'sa'ah ra ne qabr-e-mubaarak ke sarhaane khade ho kar ek mutthi khaak apne sir par daali aur kaha. "Mere maa baap Aap par qurbaan Ya Ameer-ul-Momineen a.s. Allah Aap ko yeh karaamatein mubaarak kare. Yaqeenan Aap ki zindagi paakeezah thi, Aap ko sabr qawi tha. Aap ka jihaad azeem tha aur Aap apne maqsad tak pahunch gaye. Aap ki tijaarat kaamyaab thi. Aap Khuda ki baargaah mein haazir ho gaye" aur is tarah musalsal yahi kehte jaate the aur girya karte jaate the. Yahan tak ke tamaam haazireen ne girya kiya aur us raat ko girya kiya ke qabr ke sarhaane ek majlis-e-azaa mun'aqid ho gayi jis ke zaakir Janaab Sa'sa'ah ra the aur saamne Imam Hasan a.s., Imam Husain a.s., Muhammad Hanafiyyah, Janaab Abbas a.s. aur deegar farzandaan aur muta'alliqeen the. In kalimaat ke khatm hone ke baad Aap ne Imam Hasan a.s. wa Husain a.s. aur deegar farzandon ki taraf rukh kar ke sab ko ta'ziyat pesh ki aur phir sab Koofa waapas chale aaye. Mukhtasar yeh ke Masjid-e-Sa'sa'ah ek azeem tareen Masjid hai aur ba'z logon ne Maah-e-Rajab mein Imam-e-Zamana a.s. ko bhi is maqaam par dekha hai ke Aap ne do raka'at namaz padhi aur yeh du'a padhi
اَللّٰهُمَّ يَا ذَالْمِنَنِ السَّابِغَةِ
وَ الْاٰلَاۤءِ الْوَازِعَةِ۔۔۔
Jis se ma'loom ho ta hai ke du'a makhsoos is Masjid ke liye hai. Us ke a'maal mein shaamil hai jis tarah ke Masjid-e-Sahlah aur Masjid-e-Zaid ki du'a'ein hain lekin chunke Hazrat ne Maah-e-Rajab mein yeh du'a padhi hai lehaza mumkin hai ke yeh du'a Rajab ki du'aon mein ho. Aur isi liye ulamaa ne is ko A'maal-e-Maah-e-Rajab mein bhi zikr kiya hai. Aur hum A'maal-e-Rajab mein us ka zikr kar chuke hain. Lehaza ab takraar karne ki koi zaroorat nahin hai.
Fazilat Ziyarat Abu Abdullah al-Husain a.s. aur un ke Aadaab ke baare mein