Fazilat Ziyarat Abu Abdullah al-Husain a.s. aur un ke Aadaab
Jin ka lihaaz rakhna Hazrat ke har zaa'ir ke liye zaroori hai. Raah-e-Ziyarat mein aur Haram-e-Mutahhar mein. Aap ki kaifiyat-e-ziyarat ke baare mein teen maqaasid hain;
Pehla Maqsad: Fazilat Ziyarat Imam Husain Alaihissalam.
Waazih rahe ke Imam Husain a.s. ki ziyaarat ke fazaa'il ehaata-e-bayaan se baahar hain aur aksar riwaayaat mein yeh waarid hua hai ke yeh ziyaarat Hajj wa Umrah aur Jihaad ke baraabar hai bal ke us se ba-daraja behtar wa afzal hai. Yeh ziyaarat baa'is-e-maghfirat aur moojib-e-bulandi-e-darajaat wa ijabat-e-du'a wa sabab-e-tool-e-umr wa hifz-e-jaan wa maal wa aabroo hai. Is se rizq mein wus'at paida hoti hai aur haajatein poori hoti hain. Hum wa gham door hota hai aur ziyaarat ko tark kar dena deen wa eemaan mein nuqs aur Paighambar (S) ke huqooq mein kotaahi ke mutraadif hai. Is ziyaarat ka kam se kam sawaab yeh hai ke zaa'ir ke gunaah bakhsh diye jaate hain Parwardigaar us ke jaan wa maal ki hifaazat karta hai yahan tak ke apne ghar waapas aa jaaye. Aksar riwaayaat mein yeh bhi hai ke ziyaarat hum wa gham ko zaa'il karti hai. Jaa'n kuni ko aasaan banaati hai aur haul-e-qabr ko bar taraf kar deti hai. Is raah mein kharch hone waala har dirham, hazaar bal ke das hazaar dirham ke baraabar shumaar hota hai. Jab koi insaan qabr Imam Husain a.s. ka iraada karta hai to chaar hazaar farishte us ka isteqbaal karte hain aur jab waapas hota hai to use ghar tak pahunchaate hain. Aap ki ziyaarat ke liye Paighambar (S), Awliyaa aur Aimma-e-Ma'soomeen a.s. aur malaa'ika sab haazir hote hain aur zaa'ireen ke haq mein du'a karte hain aur unhein bashaarat dete hain ke Parwardigaar un zaa'ireen Imam Husain a.s. par maidaan-e-Arafaar mein haazir hone walon se zyada nigaah-e-rehmat rakhta hai aur har shakhs Roz-e-Qiyaamat is baat ki aarzoo karega ke kaash woh bhi zaa'ireen-e-Husain a.s. mein hota ke us ne un zaa'ireen ki karaamat wa buzurgi ka mushaahida kar liya hoga.
Is zail mein riwaayaat be-shumaar hain. Hum ziyaaraat makhsoosah ke zail mein kuch ziyaaraat ke fazaa'il ka zikr karenge aur is maqaam par faqat Janaab Ibn-e-Qaulawayh ra, Kulayni ra, Ibn-e-Ta'us ra aur doosron ki naql ki hui us riwayat par iktefa karte hain jis ko mo'tabar asnaad ke saath jaleel-ul-qadr siqa Mu'aawiyah bin Wahab Bajali Koofi se naql kiya gaya hai ke main Imam Sadiq a.s. ki khidmat mein haazir tha. Dekha ke Aap musalle par mashghool-e-namaz hain to main baith gaya. Jab Aap ne namaz tamam ki to maine dekha ke Aap Parwardigaar se munajaat kar rahe hain aur keh rahe hain ke "Aye woh Parwardigaar jis ne hamein karaamat ata ki hai aur hum se shafa'at ka wa'da kiya hai aur hamein uloom-e-risaalat de kar Paighambaron ka waaris bana diya hai aur hamein aakhri ummat mein qaraar de kar hum ko wasiyyat-e-Paighambar (S) se makhsoos kiya hai aur hamein maazi aur mustaqbil ka ilm diya hai aur logon ke dil ko hamari taraf maa'il kar diya hai."
“Ighfirli wa li-ikhwaani wa zuwwaari qabri abiyyal Husain ibni Aliin salawaatullahi alaihimaa”
Mujhe aur mere baraadaraan-e-eemaani aur zaa'ireen-e-qabr-e-Husain a.s. ko bakhsh de. Woh log jinhon ne apne maal ko kharch kiya hai, apne shehron se nikal pade hain, hamare saath neki ki hai aur is sila-e-reham mein tere sawaab ki umeed rakhi hai. Tere Paighambar (S) ko khush karna chaaha hai. Teri khushnoodi ke liye tere dushmano ko naaraaz kiya hai. Parwardigaar meri taraf se unhein yeh badla de ke un se khush ho jaa aur shab wa roz har waqt un ki hifaazat farma aur ahl wa ayaal wa aulaad jinhein watan mein chhod kar aaye hain, sab ki hifaazat farma aur un ka rafeeq ho jaa. Un se har tarah ke zaalim wa jaabir ke shar ko door farma aur jinn wa ins ke shayaateen se unhein mahfooz farma, jo un ki umeedain hain un se zyada ata farma aur jo unhon ne watan se doori ikhtiyaar ki hai aur hamein apne maal wa aulaad par muqaddam rakha hai. Khuda-wand hamare dushmano ne un ko is raah par nikalne par ta'ane diye hain magar is ke baad bhi unhon ne apne iraadon ko tabdeel nahin kiya aur nikal pade hain lehaza un ke in chehron par rehmat naazil karna jinhein aaftaab ki garmi ne jhulas diya hai aur un rukhsaron par rehmat naazil farma jo qabr-e-Husain a.s. par rakhe ja rahe hain. Khudaaya reham karna un aankhon par jo hamare haal par girya kar rahi hain aur reham karna un dilon par jo hamare gham mein be-qaraar hain. Reham karna un naalah wa shaiwan par jo hamari museebat mein buland ho jaaye. Khudaaya main un tamaam arwaah wa ajsaam ko tere hawaala karta hoon taa ke tu unhein Roz-e-Tishnagi-e-Mahshar Hauz-e-Kausar se sairaab kar de.
Aur isi tarah Hazrat musalsal sajda mein du'a karte rahe. Jab faarigh hue to maine arz kiya ki Yeh du'a jo maine Aap se suni hai yeh to agar kisi aise shakhs ke haq mein bhi kar di jaaye jo Khuda ko pehchaanta ho to mera khayaal hai ke woh Aatish-e-Jahannam se bach jaayega." Khuda ki qasam yeh du'a sun kar mujhe yeh aarzoo paida hui ke kaash maine Hajj-e-Mustahab ke bajaaye Hazrat ki ziyaarat kar li hoti to Aan Hazrat ne farmaya ke "Tum to bahut qareeb ho. Tumhein ziyaarat se kis cheez ne rok rakha hai. Aye Mu'aawiyah dekho is ziyaarat ko tark na karna. Maine arz ki, 'Main Aap par qurbaan mujhe nahin ma'loom tha ke ziyaarat mein is qadar fazeelat hai.' Farmaya ke Mu'aawiyah woh log ke jo Hazrat ki ziyaarat karne walon ke haq mein du'a karte hain woh aasmaan mein un se kahin zyada hain jis qadar zameen mein hain. Khabardaar meri ziyaarat ko kisi ke khauf se bhi tark na karna. Jo shakhs kisi ke khauf se tark kar dega Roz-e-Qiyaamat hasrat ka shikaar hoga aur aarzoo karega kaash Hazrat ki qabr ke paas is qadar rehta ke wahin khatm ho jaata. Kya tum yeh nahin chahte ho ke Parwardigaar tumhein un ke darmiyaan qaraar de jin ke haq mein Rasool-e-Akram (S), Hazrat Ali a.s. wa Fatima a.s. aur Aimma-e-Ma'soomeen a.s. du'a karte hain. Kya nahin chahte ho ke un ke darmiyaan raho jin se malaa'ika Roz-e-Qiyaamat musaafiha (handshake) karenge. Kya nahin chahte ho ke un mein shaamil ho jao jo Qiyaamat ke din Rasool-e-Akram (S) se musaafiha karne waale hain."