وَ اَكْرَمُ بِهِدَايَتِكَ
وَ فُلَانٌ يُذِلُّنِيْ بِشَرِّهِ
وَ يُهِيْنُنِيْ بِاَذِيَّتِهِ
وَ يُعِيْبُنِيْ بِوِلَاۤءِ اَوْلِيَاۤئِكَ
وَ يَبْهَتُنِيْ بِدَعْوَاهُ
وَ قَدْ جِئْتُ اِلٰى مَوْضِعِ الدُّعَاۤءِ
وَ ضَمَانِكَ الْاِجَابَةَ
اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اٰلِ مُحَمَّدٍ
وَ اَعْدِنِيْ عَلَيْهِ السَّاعَةَ السَّاعَةَ
Phir khud ko qabr par daal de aur kahe
مَوْلَايَ اِمَامِيْ
مَظْلُوْمٌ ۟اِسْتَعْدٰى عَلٰى ظَالِمِهِ
النَّصْرَ النَّصْرَ
Aur phir is lafz
ki takraar karta rahe yahan tak ke saans toot jaaye.
16. Is Haram ke a'maal mein woh du'a bhi hai jis ko Ibn-e-Fahad ra ne Uddat-ud-Daa'i mein Imam Sadiq a.s. se naql kiya hai ke jab koi haajat pesh aa jaaye to baala-e-sar Imam Husain Alaihissalam khade ho kar kahe.
يَاۤ اَبَا عَبْدِ اللّٰهِ
اَشْهَدُ اَنَّكَ تَشْهَدُ مَقَامِيْ
وَ تَسْمَعُ كَلَامِيْ
وَ اَنَّكَ حَيٌّ عِنْدَ رَبِّكَ تُرْزَقُ
فَاسْاَلْ رَبَّكَ وَ رَبِّيْ فِيْ قَضَاۤءِ حَوَاۤئِجِيْ۔
Insha'Allah haajat poori hogi.
17. A'maal-e-Haram mein do raka'at namaz hai jo baala-e-sar Surah Rahmaan aur Surah Tabaarak ke saath padhi jaati hai jis ke baare mein Sayyid bin Ta'us ra ne riwayat ki hai ke jo shakhs is namaz ko padhega Parwardigaar us ke liye pachchees (25) Hajj-e-Maqbool likh dega jo Rasool (S) Akram ke saath anjaam diye hon.
18. Zair-e-Qubbah ke a'maal mein se ek Istikhaara bhi hai jis ki kaifiyat Allama Majlisi ra ne naql ki hai aur asl riwayat Qurb-ul-Asnaad Himyari se hai jo wahaan sanad-e-saheeh ke saath Imam Sadiq a.s. se naql ki gayi hai ke jo shakhs bhi kisi mu'aamale mein Parwardigaar se sau (100) martaba talab-e-khair kare. Is tarah ke baala-e-sar Imam Husain a.s. khade ho kar kahe.
اَلْحَمْدُ لِلّٰهِ
لَاۤ اِلٰهَ اِلَّا اللهُ
سُبْحَانَ اللهِ
Aur is ke baad Khuda ki buzurgi ko yaad kar ke us ki hamd wa sanaa kare aur sau (100) martaba Parwardigaar se talab-e-khair kare yaqeenan Parwardigaar us khair ko ata farmaayega aur doosri riwayat ke mutaabiq talab-e-khair ke liye sau (100) martaba padhe.
اَسْتَخِيْرُ اللهَ بِرَحْمَتِهِ خِيَرَةً فِىْ عَافِيَةٍ
19. Sheikh Ajall Kaamil Abul Qaasim Ja'far bin Qaulawayh Qummi ra ne riwayat ki hai Imam Ja'far Sadiq a.s. se ke Aap ne farmaya ke Imam Husain a.s. ki ziyarat ke liye jaate waqt khaamoshi ka khayaal rakho aur sirf kaar-e-khair ke liye zabaan kholo aur raat din aasmaan se malaa'ika naazil ho kar Haram mein maujood malaa'ika se musaafiha (handshake) karte hain lekin Haram mein maujood malaa'ika shiddat-e-girya ki binaa par un ka jawaab nahin dete aur musalsal rote rehte hain aur sirf zawaal (noon) aur tulu'-e-fajr (dawn) ke waqt khaamosh hote hain. Chunanche aane waale malaa'ika fajr ya zohar ka intezaar karte rehte hain taa ke un se kuch guftagu kar sakein to woh un se aasmaan ke baare mein kuch sawaal karte hain warna is ke alaawa poore waqt woh khaamosh nahin hote ya du'aon mein mashghool rehte hain ya girya karte hain.Neez Aan Hazrat se hi riwayat hai ke Khuda-wand Aalam ne Haram-e-Imam Husain a.s. par chaar hazaar farishte mu'ayyan kiye hain jin ke baal uljhe hue aur gard aalood museebat zadah afraad ki tarah zohar tak girya karte rehte hain aur zohar ke waqt chaar hazaar farishte aur aa jaate hain to yeh waapas chale jaate hain aur woh tulu'-e-subh tak musalsal rote rehte hain. Is tarah ki aur bhi ahaadees kasrat ke saath maujood hain jin se yeh waazih ho jaata hai ke Haram mein jaa kar Aap par girya karna sirf jaa'iz hi nahin bal ke ek mehboob aur pasandeeda amal hai aur use is mubaarak Haram ke a'maal mein shumaar kiya jaata hai kyun ke woh shiyon ke liye Hazrat par girya karne aur marsiya padhne ya nauha wa maatam ke liye Bait-ul-Ahzaan hai.Aur Safwaan ne Imam Sadiq a.s. se hi riwayat ki hai ke malaa'ika Khuda-wand Aalam ki baargaah mein girya wa zaari ke saath qaatileen-e-Ameer-ul-Momineen a.s. aur Imam Husain a.s. par musalsal la'nat karte rehte hain aur Aap par jinaat ko nauha ya Haram ke gird maujood malaa'ika ke gham wa andoh aur girya ka yeh aalam hai ke agar koi use sun le to khaana peena aur sona chhod dega. Hadees Abdullah Hammaad Basari ke mutaabiq Imam Ja'far Sadiq a.s. ne un se farmaya ke "Maine suna hai ke Koofa aur us ke atraaf ya doosri jagahon se mard aur aurtein Imam Husain a.s. ki qabr par Nisf-e-Sha'baan mein aa kar girya wa zaari karte hain. Ba'z tilaawat aur ba'z masa'ib-e-Karbala padhte hain aur ba'z marsiya aur nauha padhte hain." Maine arz ki "Meri jaan Aap par qurbaan yeh manzar maine bhi dekha hai" to Aap ne farmaya "Khuda-wand Aalam ka shukr hai jis ne aise log paida kiye hain jo hamare paas aa kar hamari madh karte hain aur hamare liye marsiya padhte hain jab ke hamare dushman un ko ta'na dete hain aur unhein daraate ya dhamkaate hain aur un ke kaamon ko bura samajhte hain." Isi riwayat ki ibtedaa mein yeh bhi hai ke log Imam Husain a.s. ki ziyarat ko jaate hain aur girya karte hain aur jo nahin jaa sakte un ki museebat mein ghamgeen rehte hain aur jo unhein yaad karte hain aur Du'a-e-Rehmat karte hain, jo un ke paa'een paa un ke farzand ki qabr ka tasawwur karte hain aur yeh dekhte hain ke yeh log us bayaabaan mein the jahan un ka koi dost aur qareeb nahin tha. Logon ne un ke haq ko ghasb kar liya hai aur kuch kaafir wa murtadd afraad ne jama' ho kar aur ek doosre ki madad kar ke unhein shaheed kar diya aur laash ko be-gaur wa kafan chhod diya aur un par Furaat ka woh paani bhi band kar diya jis ko jaanwar tak pee rahe the. Aur Rasool (S) Khuda ke haq aur un ki Ahl-e-Bait a.s. ke baare mein wasiyyat ko bhi zaa'i' kar diya. Neez Ibn-e-Qaulawayh ne Haaris-e-A'war se riwayat ki hai ke Ameer-ul-Momineen a.s. ne farmaya ke "Mere maa baap qurbaan ho jaayen Husain a.s. Shaheed par jise pusht-e-Koofa par shaheed kar diya gaya. Khuda ki qasam main dekh raha hoon ke sehraa'i jaanwar apna sir uthaaye hue un ki qabr ke gird jama' ho rahe hain aur awwal-e-shab se subh tak girya kar rahe hain
aur jab aisa to khabardaar tum un par zulm na karna."
Gharz ke is baab mein riwaayaat bahut hain.