EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Ziyarat-e-Hazrat Rasool-e-Akram (S) wa Janaab-e-Fatimah (S) Zohra wa Aimma-e-Baqee' Alaihimussalam Madeenah Munawwarah mein
Waazih rahe ke tamaam saahibaan-e-eemaan bil khusoos Hujjaj-e-Kiraam ke liye mustahab hai ke woh Rauza-e-Mutahhar Hazrat Sayyid-ul-Mursaleen Khaatam-un-Nabiyyeen (S) ki ziyaarat se musharraf hon ke is ziyaarat ka tark kar dena Roz-e-Qiyaamat Aan Hazrat (S) ke haq mein zulm shumaar kiya jaayega.
Sheikh Shaheed ra ne farmaya hai ke agar log Aan Hazrat ki ziyaarat karna tark kar dein to Imam-e-Waqt ki zimmedari hai ke unhein is ziyaarat par majboor kare is liye Aap ne ziyaarat ke tark kar dene ko apne haq mein zulm qaraar diya hai jo kisi qeemat par jaa'iz nahin hai. Sheikh Sadooq ra ne Imam Sadiq a.s. se riwayat ki hai ke jab bhi tum mein se koi shakhs Hajj kare to us ko chahiye ke apne Hajj ka ikhtetaam hamari ziyaarat par kare ke yahi Hajj ki takmeel ka sabab hai. Is ke alaawa Ameer-ul-Momineen a.s. se riwayat ki gayi hai ke Aap ne farmaya ke apne Hajj ko tamam karo Ziyarat-e-Rasool-e-Akram (S) par kyun ki Aap ki ziyaarat ko Hajj ke baad tark kar dena zulm hai aur khilaaf-e-adab hai. Is ziyaarat ka hukm diya gaya hai lehaza is ziyaarat ke liye jao ke Parwardigaar-e-Aalam ne Aan Hazrat (S) ka yeh haq qaraar diya hai aur wahaan jaa kar qabr mutahhar ke paas Parwardigaar-e-Aalam se rozi talab karo.
Abul Salt Harwi se riwayat hai ke main Imam Raza a.s. ki khidmat mein haazir hua to maine arz kiya ke Yabn-e-Rasoolullah! Us Hadees ke baare mein Aap kya farmate hain jo naql ki jaati hain ke Momineen behisht mein apne Parwardigaar ki ziyaarat karenge. Is Hadees ke ma'ni sahih hain to kis tarah sahih hain? Jab ke is ka mazmoon zaahiri e'tebaar se sahih e'teqaadaat ke mutabiq nahin hai to Hazrat ne farmaya ke Aye Abul Salt! Parwardigaar-e-Aalam ne apne Paighambar (S) ko tamaam makhlooqaat aur tamaam Paighambaron aur farishton se afzal qaraar diya hai. Un ki itaa'at ko apni itaa'at aur un ki bai'at ko apni bai'at qaraar diya hai lehaza un ki ziyaarat ko bhi apni ziyaarat qaraar diya hai jaisa ke irshaad hota hai
Ya
“ya'ni jis ne Rasool (S) ki itaa'at ki us ne Allah ki itaa'at ki. Ya. Paighambar (S) jo log tumhare haath par bai'at karte hain dar haqeeqat yeh Allah ki bai'at hai aur un ke haathon par Allah ka haath hai.”
Rasool-e-Akram (S) ne farmaya hai ke jo shakhs zindagi mein ya marne ke baad meri ziyaarat kare woh aisa hi hai goya us ne Parwardigaar ke deedaar ka sharaf haasil kiya hai.
Himyeri ne Qurb-ul-Isnaad mein Imam Sadiq a.s. se riwayat ki hai ke Rasool-e-Akram (S) ne farmaya hai ke jo shakhs zindagi mein ya marne ke baad meri ziyaarat kare main Roz-e-Qiyaamat us ki shafa'at karunga. Ek Hadees mein hai ke Imam Sadiq a.s. Roz-e-Eed Madeenah mein the. Aap Ziyarat-e-Rasool-e-Akram (S) ke liye tashreef le gaye aur jaa kar salaam kiya is ke baad farmaya ke hum tamaam ahl-e-shahr par fazeelat rakhte hain chahe woh Makkah mein hon ya ghair Makkah mein hon is bunyaad par ke hamein Paighambar (S) ki ziyaarat aur Aap par salaam karne ka sharaf haasil hua hai.