EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Ziyarat-e-Aashoora ki Fazilat mein Safwaan ki Riwayat
Saif bin Umair ka bayan hai ke maine Safwaan se sawaal kiya ke "Alqama bin Muhammad ne is du'a ko hamare liye Imam Baqir a.s. se riwayat nahin ki hai bal ke sirf ziyarat ko bayan kiya hai" to unhon ne kaha ke "Main khud Imam Sadiq a.s. ke saath is jagah aaya tha to Aap ne wahi amal kiya tha jo main adaa ki jaise ke hum ne padhi hai aur waise hi wida' kiya tha jaise hum ne wida' kiya hai." Is ke baad Safwaan ne kaha ke "Hazrat Sadiq a.s. ne mujh se farmaya tha ke is ziyarat ki paabandi karna aur is du'a ko padhte rehna ke Khuda ki baargaah mein is ziyarat padhne waale aur is tarah ki du'a nazdeek ya door se karne waale ke liye zaamin hoon ke us ki du'a qabool hogi aur us ki sa'i mashkoor hogi aur us ka salaam qabool ho jaayega aur us ki haajatein poori hongi aur Parwardigaar ki taraf se jo martaba chahega milega aur naa-ummeed nahin hoga. Aye Safwaan maine ziyarat ko isi zamaanat ke saath apne padar-e-buzurgwaar se unhon ne apne padar-e-buzurgwaar Ali a.s. bin al-Husain a.s. se aur unhon ne Imam Husain a.s. se aur unhon ne apne bhai Imam Hasan a.s. se unhon ne apne padar-e-buzurgwaar Ameer-ul-Momineen a.s. se aur Ameer-ul-Momineen a.s. ne Rasool (S) Khuda se aur Rasool (S) Khuda ne Jibreel se aur Jibreel ne Parwardigaar se haasil kiya hai aur Parwardigaar ne apni zaat-e-muqaddas ki qasam khaai hai ke "Jo shakhs nazdeek ya door se Imam Husain a.s. ki yeh ziyarat karega aur yeh du'a padhega to us ki ziyarat qabool kar loonga aur us ki har khwaahish ko poora kar doonga aur woh meri baargaah se naa-ummeed aur maayoos waapas na jaayega bal ke haajat poori hone ke baad aur dozakh se aazaad hone ke baad aur Jannat ka haqqdaar hone ke baad waapas jaayega aur agar kisi ke baare mein sifaarish kar dega to use bhi qabool kar loonga." Aur yeh bhi farmaya ke "Hum Ahl-e-Bait a.s. ke dushmano ke alaawa ke un ke haq mein kisi ki du'a qabool na hogi" jaisa ke Parwardigaar-e-Aalam ne apni zaat-e-aqdas ki qasam khaa kar farmaya hai aur hum ko us ka gawaah banaaya hai aur us ke gawaah aasmaan ke farishte bhi hain. Is ke baad Jibreel ne kaha Ya Rasoolullah Khuda ne mujhe Aap ke paas bheja hai ke main Aap ko aur Ali a.s. wa Fatima a.s. wa Hasan a.s. wa Husain a.s. aur un ki aulaad ke Imamon ko woh bashaarat doon jo Aap ke liye aur un Aimma ke liye aur Aap ke Shi'on ke liye Roz-e-Qiyaamat baa'is-e-masarrat hai. Safwaan kehte hain ke is ke baad Imam Sadiq a.s. ne farmaya ke "Aye Safwaan jab tumhare liye koi haajat pesh aa jaaye to yeh ziyarat jahaan se chaaho padh lo aur is du'a ko bhi padh lo aur Parwardigaar se haajat talab karo Insha'Allah zaroor poori hogi aur Khuda apne Rasool (S) se kiye hue wa'da ke khilaaf na karega."
Mu'allif ka bayan hai ke Al-Najm-us-Saaqib mein Sayyid Ahmad Rashti ki Imam-e-Zamana a.s. se safar-e-Hajj mein mulaqaat ke zail mein yeh hikaayat naql ki gayi hai jis mein Hazrat ka yeh irshaad hai ke "Ziyarat-e-Aashoora kyun nahin padhte ho Aashoora Aashoora Aashoora." Is ko hum Insha'Allah Ziyarat-e-Jaame'a Kabeera ke baad naql karenge aur hamare ustaad Sheikh Noori ra ne farmaya hai ke Ziyarat-e-Aashoora apne fazl wa maqaam mein aam ziyaaraton jaisi nahin hai lekin ba-zaahir yeh kalaam-e-Ma'soom mein shaamil nahin hai agarche un ke paakeezah qalb se jo cheez bhi saamne aati hai woh sab aalam-e-baala ka ilhaam hota hai bal ke yeh ziyarat Ahaadees-e-Qudsiyyah mein shaamil hai ke isi tarteeb se ziyarat la'n wa salaam wa du'a ke saath Hazrat Ahadiyyat ki baargaah se Jibreel Ameen ke zariye Khaatam-un-Nabiyyeen tak pahunchi hai aur tajurbaat ki bina par chaalees (40) roz ya us se kam is ki paabandi qazaa-e-hawaa'ij, husool-e-maqaasid aur dushmano ke difaa' ke liye be-nazeer hai aur is ki paabandi se jo fawaa'id saamne aaye hain un mein sab se ahem faayda woh hai jo Kitaab Daar-us-Salaam mein maine zikr kiya hai aur us ka khulaasa yeh hai ke mard-e-saaleh muttaqi Haaj Mulla Hasan Yazdi jo Najaf Ashraf ke mujaawar the aur musalsal mashghool-e-ibaadat wa ziyarat raha karte the unhon ne mard-e-siqa Haaj Muhammad Ali Yazdi se jo mard faazil wa saaleh the aur hamesha umoor-e-aakhirat mein mashghool rehte the aur raaton ko Yazd ke us maqbara mein jahaan bahut se saaleheen madfoon hain aur us ko mazaar kaha jaata hai raat guzaarte the. Un ka ek humsaaya tha jo bachpan se un ke saath raha tha aur donon ek hi saath padhte the aur us ne tax wasooli ka kaam shuru kar diya tha yahan tak ke woh mar gaya aur usi maqbara mein us maqaam par use dafn kiya gaya jahan woh buzurgwaar raat guzaarte the. Dafan ke ek maah ke andar unhon ne us ko khwaab mein dekha ke intehaai haseen shakl mein woh un ke paas aaya hai. Unhon ne kaha ke "Mujhe ma'loom hai ke tere kaam ki ibtedaa wa intehaa aur us ka zaahir wa baatin aisa nahin tha jis ke baare mein is neki ka ehtemaal paaya jaata ho aur tera kaarobaar bhi azaab ke alaawa aur kisi cheez ka sabab nahin tha to aakhir is manzil tak kaise pahunch gaya?" Us ne kaha "Aap bilkul sahih kehte hain. Main Roz-e-Wafaat se kal tak sakht tareen azaab mein mubtila tha ke Zauja-e-Ustaad Ashraf Haddad ka inteqaal hua aur un ko is maqaam par dafn kiya gaya jahan se sau haath ke faasla par hai aur Shab-e-Wafaat Imam Husain a.s. teen martaba us ko dekhne ke liye tashreef laaye aur teesri martaba hukm diya ke is maqbara se azaab utha liya jaaye. Is ke baad mere haalaat bilkul theek ho gaye aur main intehaai wus'at wa ne'mat mein hoon." Woh hairan wa pareshaan khwaab se bedaar hue ke Ashraf Haddad ko nahin pehchaante the na us mohalla ko jaante the lehaza lohaaron ke bazaar mein jaa kar pata lagaaya aur jab ma'loom ho gaya to us se poochha ke "Kya tumhari koi zauja thi?" Us ne kaha "Nahin." Kaha "Kya zikr-e-masaa'ib karti thi?" Kaha "Nahin." Kaha "Kya ta'ziya daari ki majlisein karti thi?" Kaha "Yeh bhi nahin." Magar tum yeh sab daryaaft kyun kar rahe ho? Unhon ne khwaab bayan kiya to us ne kaha ke "Haan meri zauja hamesha Ziyarat-e-Aashoora ki paaband thi."