Pehli Shab-e-Juma Lailat-ur-Raghā'ib
Waazih rahe ke Maah-e-Rajab ki pehli Shab-e-Juma ko Lailat-ur-Raghā'ib kaha jaata hai aur us ke liye Rasool-e-Akram (S) se be-shumaar fazeelat ke saath ek amal waarid hua hai jis ko Ibn-e-Ta'us ra ne Iqbāl mein aur Allama Hilli ra ne Ijāzat Banī Zahra mein naql kiya hai jis ki fazeelaton mein yeh bhi hai ke us ki wajah se bahut se gunaah mu'aaf kar diye jaate hain aur jo shakhs is namaz ko adaa karega jab qabr ki pehli raat hogi to Parwardigaar us ke sawaab ko haseen tareen shakl aur noorani chehra ke saath faseeh zabaan de kar bhej dega aur woh us se kahega ke "Mere mehboob tujhe bashaarat ho ke tu ne har sakhti aur gham se nijaat haasil kar li hai." To woh ghabra kar poochhega ke "Maine tujh jaisa haseen to koi nahin dekha hai aur na aisa sheereen kalaam kabhi suna hai, na aisi khushboo mehsoos ki hai to tu hai kaun?" Woh kahega ke "Main us namaz ka sawaab hoon jo tu ne falan saal Maah-e-Rajab ki falan raat mein anjaam di thi. Ab main aaya hoon ke tere haq ko adaa karoon aur teri tanhaai ka moonis banuun, teri wahshat ko zaa'il karoon aur jab Roz-e-Qiyaamat soor phoonka jaaye to tere sir par saaya figan rahoon. Khushhaal ho jaa ke ab koi khair tujh se zaa'il na hoga." Is namaz ki kaifiyat yeh hai ke Maah-e-Rajab ki pehli Jume'raat ko roza rakhe aur jab Shab-e-Juma ho to Namaz-e-Maghrib wa Ishaa ke darmiyaan baarah raka'at namaz adaa kare aur do raka'at par salaam padhe aur har raka'at mein Surah al-Faatehah ke baad teen martaba Surah al-Qadr aur baarah martaba Surah al-Tawheed padhe. Namaz faarigh hone ke baad sattar martaba kahe
Khudaya! Muhammad (SAW) Ummi par aur un ki Aal (AS) par rehmat naazil farma.
Is ke baad sajda mein jaaye aur sattar martaba kahe
سُبُّوْحٌ قُدُّوْسٌ رَبُّ الْمَلَاۤئِكَةِ وَ الرُّوْحِ۔
Farishtoñ aur Rooh ka Rabb be-aib paak-tar hai.
Phir sajda se sir utha kar sattar martaba kahe
رَبِّ اغْفِرْ وَ ارْحَمْ
Paalne waale bakhsh de rehm farma
وَ تَجَاوَزْ عَمَّا تَعْلَمُ
Aur un gunaahoñ se darguzar kar jin ko tu jaanta hai
اِنَّكَ اَنْتَ الْعَلِيُّ الْاَعْظَمُ۔
Be-shakk tu buland-tar buzurg-tar hai.
Aur dobaarah sajda mein jaa kar phir sattar martaba kahe
سُبُّوْحٌ قُدُّوْسٌ رَبُّ الْمَلَاۤئِكَةِ وَ الرُّوْحِ۔
Farishtoñ aur Rooh ka Rabb hai be-aib paak-tar hai.
Aur phir apni haajat ko talab kare jo Insha'Allah poori hogi. Yeh bhi ma'loom rahe ke Maah-e-Rajab mein Ziyarat Imam Raza Alaihissalam mustahab bhi hai aur khusoosiyat bhi rakhti hai jis tarah ke is maheenah mein Umrah ki fazeelat bhi waarid hui hai aur use Hajj ke baraabar qaraar diya gaya hai aur naql kiya gaya hai phir Maah-e-Rajab mein Imam Zainul Aabideen Alaihissalam ne Umrah kiya to rozana Khaana-e-Ka'bah ke paas namaz adaa farmate the aur shab wa roz sajda kiya karte the aur sajda mein yeh zikr kiya karte the.
عَظُمَ الذَّنْبُ مِنْ عَبْدِكَ
Parwardigaar bande ka gunaah azeem hai
فَلْيَحْسُنِ الْعَفْوُ مِنْ عِنْدِكَ۔
Lihaza teri mu'aafi ko bhi haseen hona chahiye.