A'maal-e-Maah-e-Dhī al-Qa'dah
Waazih rahe ke pehla muhtaram maheenah hai jis ka zikr Haq Ta'ala ne Qur'an Majeed mein farmaya hai. Aur Sayyid bin Ta'us ra ne riwayat naql ki hai Dhī al-Qa'dah zamaana-e-ijaabat-e-du'a hai. Shiddat ke auqaat mein is maheenah ke Roz-e-Yekshanbah ek namaz Rasool-e-Akram (S) se behtareen fazaa'il ke saath waarid hui hai. Us ka khulaasa yeh hai ke agar koi shakhs is namaz ko baja laaye to us ki tawbah qabool hogi aur us ke gunaah bakhsh diye jaayenge aur us ke dushman Roz-e-Qiyaamat us se raazi ho jaayenge. Dunya se baa-eemaan jaayega. Us ki qabr mein kushādgi aur nūrāniyat paida hogi. Us ke waalidain us se khush honge. Us ke waalidain aur us ki aulaad ki bakhshish ho jaayegi. Rizq mein wus'at paida hogi. Malak-ul-Maut narmi ka bartaa'o karenge aur aasaani se jaan nikal jaayegi. Is namaz ki kaifiyat yeh hai ke Itwaar ke din ghusl kare. Is ke baad wuzu kar ke chaar raka'at namaz adaa kare. Har raka'at mein teen martaba Surah al-Tawheed aur ek ek martaba Surah al-Falaq aur Surah al-Nas, us ke baad sattar martaba istighfaar kare aur aakhir mein kahe
Nahin hai koi taaqat o quwwat magar wahi jo Buland o Bartar Khuda se milti hai.
Is ke baad kahe
يَا عَزِيْزُ يَا غَفَّارُ
Ay Khuda-e-Azeez Ay Khuda-e-Ghaffaar
اِغْفِرْ لِيْ ذُنُوْبِيْ وَ ذُنُوْبَ جَمِيْعِ الْمُؤْمِنِيْنَ وَ الْمُؤْمِنَاتِ
Mere gunaahon ko bakhsh de aur tamaam Momineen o Mominaat ke gunaahon ko bakhsh de
فَاِنَّهُ لَا يَغْفِرُ الذُّنُوْبَ اِلَّا اَنْتَ۔
ke in gunaahon ko siwaaye tere koi nahin bakhsh sakta hai.
Ba-zaahir yeh istighfaar aur du'a namaz ke baad hona chahiye.
Waazih rahe riwayat mein hai ke jo shakhs muhtaram maheene mein teen din musalsal Jume'raat, Juma, Haftah ka roza rakhe to us ko nau saal ki 'ibaadat ka sawaab ata kiya jaayega.
Sheikh Jaleel Ali Ibn-e-Ibraheem Qummi ne farmaya ke jo shakhs muhtaram maheenon mein gunaah karega us ka azaab bhi doguna ho jaayega jis tarah nekiyon ka ajr doguna ho jaata hai.