EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Māh-e-Muḥarram ke A'māl ke Baare Mein
Waazih rahe ke yeh maheenah Ahl-e-Bait a.s. aur un ke shi'on ke liye gham wa alam ka maheenah hai. Hazrat Imam Raza Alaihissalam ka irshaad hai ke jab Maah-e-Muḥarram aa jaata tha to mere padar-e-buzurgwār ko koi hansta hua nahin dekh sakta tha aur Aap par musalsal gham wa alam taari rehta tha. Yahan tak ke jab “Roz-e-Āshoor” aa jaata tha to woh sirf muṣībat wa gham aur girya ka din hota tha aur Aap farmate the ke aaj ke din Imam Husain a.s. shaheed hue hain.