EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Namaaz-e-Wasiyat
Jis ki Rasool-e-Akram sallallahu 'alayhi wa aalihi wa sallam ne wasiyat farmaa'i hai. Yeh do rak'at namaaz hai Maghrib wa 'Ishā ke darmiyaan paṛhi jaati hai. Pehli rak'at meiñ Ḥamd ke ba'd terah martaba Idhā Zulzilatil Arḍu aur doosri rak'at meiñ Ḥamd ke ba'd pandrah martaba Qul Huwa Allāh aur agar har shab bajaa laaye to Khuda-e-'Alam ke 'ilaawah us ke sawaab ko koi aur nahiñ likh sakta hai.