Sayyid bin Ṭaa'oos rahmatullahi 'alayhi ne Muhajj-ud-Da'waat meiñ naql kiya hai Sa'eed bin Abil Fatḥ Qummi rahmatullahi 'alayhi jo Wāsiṭ meiñ saakin the kaha ke mujhe ek khatarnaak beemaari ho gayi thī jis ke 'ilāj se ḥakīm ba-l-kul 'aajiz the.
Mere waalid mujhe asptaal le ga'e to ḥakīmoñ ne kaafi ghaur wa fikr ke ba'd yeh faislah kar diya ke Khuda-e-'Alam ke 'ilaawah is ke marz ka koi 'ilāj nahiñ kar sakta hai.
Maiñ is baat meiñ behad ghamzadah aur dil-shikastah tha ke achaanak apne waalid ki kitaaboñ meiñ ek kitaab nikaali taa-ke us ka muṭāla'ah karooñ to dekha ke is kitaab meiñ likha tha ke Ḥazrat Imam Sadiq 'alayhissalaam se marwi hai ke Paighambar-e-Akram sallallahu 'alayhi wa aalihi wa sallam ne farmaaya ke jis ko koi beemaari ho to woh Namaaz-e-Subaḥ ke ba'd chālees martaba kahe:
Aur jahaañ beemaari ho us jagah haath phere to Khuda-e-'Alam use shifaa 'inaayat kar de ga. Maiñ ne subaḥ ka intizaar kiya aur jab subaḥ ho gayi to Namaaz-e-Subaḥ paṛh kar chālees martaba yeh du'a paṛhi aur us jagah haath pher-ta raha yahaañ tak ke Khuda-e-'Alam ne meri beemaari door kar di aur maiñ isi tarah baiṭha raha ke kaheñ phir marz shuru' na ho jaaye. Teen din isi tarah guzar ga'e aur marz nahiñ palaṭa to us ke ba'd apne waalid se is qiṣṣah ko bayaan kiya to unhoñ ne Khuda ka shukr adaa kiya. Aur ba'z aṭibbā' jin meiñ ek kaafir ḍhimmi tha jab us se yeh maajra naql kiya to us ne mere paas aa kar beemaari ko chek kiya aur isi waqt Musalmān ho gaya aur kalimah paṛh liya.