EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Fazeelat Aayat-ul-Kursi Ba'd Az Namaaz
Aur mo'tabar sanad ke saath Hazrat Imam Moosa Kazim (A.S.) se manqool hai ke jo shakhs har Namaaz ke ba'd Aayat-ul-Kursi padhega usko koi keeda aur jaanwar zarrar nahi pahuncha sakta.
Doosri mo'tabar hadees mein hai ke Rasool-e-Khuda (S.A.W.) ne farmaya ke Aye Ali (A.S.)! har waajib Namaaz ke ba'd Aayat-ul-Kursi ki zaroor tilaawat kiya karo ke Paighambar, Siddique ya Shaheed ke alaawa koi bhi iski paabandi nahi kar sakta hai.
Aur Rasool-e-Akram (S.A.W.) se hi riwaayat hai ke jo shakhs har Namaaz ke ba'd Aayat-ul-Kursi padhega, maut ke alaawa uske liye Jannat mein daakhil hone se koi shaiy'e maane' nahi ho sakti hai.
Aur doosri riwaayat mein hai ke jo shakhs waajib Namaaz ke ba'd Aayat-ul-Kursi padhega uski Namaaz qabool hogi aur woh Khuda ki amaan mein rahega aur Khuda usko gunaahon aur balaaon se mehfooz kar dega.