EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Khwaas Ba'z Soor Aur Aayaat
Yeh baab chaalees amr par mushtamil hai:
1. Shaykh Kulaini rahmatullahi 'alayhi ne Usool-e-Kaafi meiñ Hazrat Imam Muhammad Baqir 'alayhissalaam se riwaayat ki hai ke jo shakhs musabbahaat ya'ni Surah Hadeed wa Hashr, Saff, Jumu'ah wa Taghaabun wa A'laa ko sone se pehle paṛh le ga woh jab tak Qaa'im Aal-e-Muhammad 'alayhissalaam ko na dekh le ga use maut na aayegi aur agar mar bhi gaya to Paighambar-e-Akram sallallahu 'alayhi wa aalihi wa sallam ke jawaar meiñ jagah paaye ga.