Khwaas-e-Surah Hamd wagherah
8. Imam Ja'far Sadiq 'alayhissalaam se yeh bhi riwaayat hai ke agar Surah Hamd ko kisi murde par sattar martaba paṛh diya jaaye aur us ki rooh waapas aa jaaye to us meiñ koi ta'ajjub nahiñ hona chaahiye.
9. Hazrat Moosaa bin Ja'far 'alayhissalaam se riwaayat meiñ bachchoñ ke liye har shab mundarjah zail cheezoñ ke paṛhne ki bahut saari khusoosiyaat zikr ki gayi hain: teen baar Qul A'oodhu bi-Rabbil Falaq, teen baar Qul A'oodhu bi-Rabbin Naas. Sau (100) martaba Surah Tauheed aur agar na paṛh sake to pachchaas martaba, ke agar is ko paabandi se paṛhta rahe ga to wafaat tak balaa'oñ se mehfooz rahe ga.
10. Shaykh Kulaini rahmatullahi 'alayhi ne hi Imam Ja'far Sadiq 'alayhissalaam se riwaayat ki hai ke aap ne Mufaddal se farmaaya ke Aye Mufaddal khud ko logoñ se mehfooz rakhne ka tareeqah yeh hai ke Bismillahir Rahmanir Raheem aur Qul Huwa Allahu Ahad ko apne daayeñ baayeñ, saamne, peeche, sir ke oopar aur pairoñ ke neeche paṛh kar dam kar de.
Aur jab kisi zaalim wa jaabir baadshah ke paas jaa'o to jab us par nazar paṛe to teen baar is ki tilaawat kar lo aur apne baa'iiñ haath ki muṭṭhi band kar leñ ke jin uñgliyoñ se shumaar kiya hai jab tak us ke paas se waapas na aa jaaye unheiñ isi tarah band rakhe ya ba'z logoñ ki binaa par jab tak us ke paas se waapas na aa jaaye Surah ki tilaawat khatm na kare.