Mukhtalif Suraton aur Aayatoñ ke Khwaas
13. Kulaini rahmatullahi 'alayhi ne Imam Baqir 'alayhissalaam se riwaayat ki hai ke Surah Mulk Surah Maani'ah hai, ya'ni woh 'azaab-e-qabr ko rok deta hai.
14. Aur aap hi se marwi hai ke ek Quraan darya meiñ gir gaya tha to jab dobaar mila to dekha ke us ke tamaam kalimaat miṭ ga'e hain sirf yeh aayat baaqi reh gayi hai:
Khabardaar ho ke tamaam ma'amalon ki baazgasht Allah ki taraf hai.
15. Shaykh Kulaini rahmatullahi 'alayhi ne Zuraarah se riwaayat ki hai ke Quraan-e-Majeed ko Maah-e-Ramzaan ke darmiyaani das dinoñ meiñ khol kar apne saamne rakho.
Aur kaho:
اَللّٰهُمَّ اِنِّىْۤ اَسْاَلُكَ بِكِتَابِكَ الْمُنْزَلِ وَ مَا فِيْهِ
Khoodaya main tujh se sawaal karta hoon teri is Kitaab-e-Manzil ke waseele se aur jo kuch is mein hai uske waseele se.
وَ فِيْهِ اسْمُكَ الْاَعْظَمُ الْاَكْبَرُ،وَ اَسْمَاۤؤُكَ الْحُسْنٰى
Is mein tera Ism-e-A'zam bhi hai aur tere behtareen naam bhi hain aur woh sab kuch hai
وَ مَا يَخَافُ وَ يُرْجٰىۤ
jisse insaan khauf zadah hota hai ya jisse umeedain waabastah karta hai.
اَنْ تَجْعَلَنِىْ مِنْ عُتَقَاۤئِكَ مِنَ النَّارِ۔
Mera sawaal yeh hai ke mujhe un logon mein qaraar de jinhein tu ne aatish-e-Jahannam se aazaad kiya hai.