EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Istikharah-e-Quraan-e-Majeed
27. Sayyid Ibn-e-Taa'oos rahmatullahi 'alayhi ne Khateeb Mustaghfireen ki kitaab Da'waat se naql kiya hai ke unhoñ ne Rasool-e-Akram sallallahu 'alayhi wa aalihi wa sallam se naql kiya hai ke jab kabhi Quraan-e-Majeed se faal nikaalna chaaho to teen martaba Surah Qul Huwa Allahu Ahad padho aur teen baar Muhammad wa Aal-e-Muhammad sallallahu 'alayhi wa aalihi wa sallam par salawaat bhejo.
Us ke ba'd kaho:
اَللّٰهُمَّ اِنِّىْ تَفَاَّلْتُ بِكِتَابِكَ
Ay Ma'bood! Main teri Kitaab se faal le raha hoon
وَ تَوَكَّلْتُ عَلَيْكَ
tujh hi par mera bharosa hai
فَاَرِنِىْ مِنْ كِتَابِكَ مَا هُوَ مَكْتُوْمٌ
pas mujhe apni Kitaab mein se woh cheez dikha
مِنْ سِرِّكَ الْمَكْنُوْنِ فِىْ غَيْبِكَ۔
jo posheedah hai tere chhupe hue raaz se tere parda-e-ghaib mein.
Phir Jaami' (ya'ni jis Quraan meiñ tamaam soore hoñ) us ko khole aur satreiñ aur awraaq gine baghair daahni jaanib ki pehli satr se faal nikaal lo.