Nisyaan ke door ho jaane ki du'a
39. Shaykh Kaf'ami rahmatullahi 'alayhi ne kitaab Jam'-ush-Shataat se Imam Ja'far Sadiq 'alayhissalaam se naql kiya hai ke jab tum chaaho ke hamaari kisi hadees ko naql karo aur Shaytaan use bhulaa na sake to apne haath ko peshaani par rakho aur kaho:
Allah Muhammad (S.A.W.) o Aal-e-Muhammad (A.S.) par rehmat farmaaye.
اَللّٰهُمَّ اِنِّىْۤ اَسْاَلُكَ
Khoodaya main tujh hi se sawaal karta hoon
يَا مُذَكِّرَ الْخَيْرِ وَ فَاعِلَهُ،وَ الْاٰمِرَ بِهِ
ke tu khair ka yaad dilaane waala, khair ka anjaam dene waala aur khair ka hukm dene waala hai.
ذَكِّرْنِىْ مَاۤ اَنْسَانِيْهِ الشَّيْطَانُ
Tu mujhe un cheezon ko yaad dilaa de jinhein Shaitaan bhulaana chahta hai.
Aur kitaab Man Laa Yahḍhuruhul Faqeeh meiñ Hazrat Sadiq 'alayhissalaam se manqool hai ke jis ko namaaz meiñ ziyaadah sahu hota ho to khalwat-e-Bayt-ul-Khalaa (toilet) meiñ daakhil hone ke waqt padhe:
بِسْمِ اللهِ
Khuda ke naam se
اَعُوْذُ بِاللهِ مِنَ الرِّجْسِ النَّجِسِ
Khuda ki panaah leta hoon paleed najis
الْخَبِيْثِ الْمُخْبِثِ
khabees aaloodah karne waale
الشَّيْطَانِ الرَّجِيْمِ۔
dhutkaare hue Shaitaan se.