EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Quwwat-e-Haafizah ki dawa aur du'a
Mu'allif kehta hai ke jo shakhs apne haafizah ko ziyaadah karna chaahe to woh miswaak kare, rozah rakhe, Quraan padhe khaas taur par Aayat-ul-Kursi padhe aur naashtah meiñ baraabar munaqqaa khaaye khaas taur par agar surkh munaqqaa aur ikkees (21) daanah ho to haafizah ke liye mufeed hai.
Aur halwa khaana aur gardan ke qareeb ka gosht khaana aur shehed aur masoor bhi haafizah ka zimmah daar hai.
Aur manqool hai woh dawa jo tajribah meiñ aa chuki hai ke kundur o, shakar aur sa'd ko masaawi wazan ke saath kooṭ leñ aur safoof ko das roz paañch dirham bhar khaayeñ lekin teen roz peh dar peh khaayeñ aur paañch roz tark na kareñ aur isi tarah kaha hai ke rozana namaaz-e-subah ke ba'd kalaam karne se qabl padhe:
Aur namaazoñ ke ba'd du'a padhe:
يَا حَىُّ يَا قَيُّوْمُ
Ay Zindah! Ay Paa'indah!
فَلَا يَفُوْتُ شَيْئًا عِلْمُهُ،وَ لَا يَؤُدُهُ۔
Jiske ilm se koi cheez nikal nahin paati na use thakaati hai.
Aur woh namaazeñ padheñ jo doosre baab meiñ quwwat-e-haafizah ke liye manqool hain.
سُبْحَانَ مَنْ لَا يَعْتَدِىْ عَلٰۤى اَهْلِ مَمْلَكَتِهِ‏۔۔۔
Paak hai woh apne zer-e-hukoomat logon par ziyaadti rawa nahin rakhta....