EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Namaaz-e-Zohar Ke Aadaab
Is mein un a'maal ka zikr hai jinko Tulu'-e-Aaftaab aur Ghuroob-e-Aaftaab ke darmiyaan anjaam diya jaata hai.
Jab sooraj nikalne waala ho to woh du'aen padhe jin ko paanchveen fasl mein zikr kiya jaayega Insha'Allah Ta'ala.
Behtar yeh hai ke har din ke shuroo' mein sadqa nikaale chahe thoda hi kyun na ho aur Zohar se pehle Namaaz ke liye taiyaari shuroo' kare aur pehle Qailoola kar le ya'ni thodi der aaraam kare kyunke yeh Namaaz-e-Shab aur din ke Roza ke liye mu'een wa madadgaar hai.
Phir koshish karke Namaaz-e-Zohar ke liye bedaar ho jaaye uske ba'd Wuzu kar ke Masjid mein jaaye aur Namaaz-e-Tahiyyat-e-Masjid padhe aur agar waqt na hua ho to waqt ka intizaar kare.