EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Namaz-e-Wahshat
Yeh namaz do raka'at hai pehli raka'at mein Surah-e-Hamd ke baad Ayat-ul-Kursi aur doosri raka'at mein Surah-e-Hamd ke baad das martaba Inna Anzalnaahu padhe aur salaam ke baad kahe:
اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَّ اٰلِ مُحَمَّدٍ
Khoodaya Muhammad (S.A.W.) o Aal-e-Muhammad (A.S.) par rehmat naazil farma
Aur Fulan ki jagah mayyit ka naam le.
وَّابْعَثْ ثَوَابَهَا اِلٰى قَبْرِ ۔۔۔
Is namaaz ka sawaab falaan ki qabr ko pahunchaa de
Ek aur tareeqa Sayyid bin Ta'us ra ne Hazrat Rasool (S) se riwayat ki hai ke Aap (S) ne farmaya ke mayyit par qabr mein pehli raat se zyada sakht koi waqt nahin guzarta hai. Lehaza sadqa de kar apne murdon par reham karo aur sadqa dene ke liye koi cheez na ho to koi shakhs do raka'at namaz padhe jis ki pehli raka'at mein ek martaba Hamd aur do martaba Qul Huwallah padhe aur doosri raka'at mein ek martaba Alhamd aur Alhaakumut Takaasur das martaba padhe aur salaam ke baad kahe:
اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَّ اٰلِ مُحَمَّدٍ
Khoodaya Muhammad (S.A.W.) o Aal-e-Muhammad (A.S.) par rehmat naazil farma
وَّابْعَثْ ثَوَابَهَا اِلٰى قَبْرِ ذٰلِكَ الْمَيِّتِ۔۔۔
Aur is namaaz ka sawaab is mayyit (falaan ibn falaan) ki qabr ko pahunchaa de
Khuda-wand Aalam isi waqt us murda ki qabr ki taraf ek hazaar malaa'ika bhejta hai jin mein se har malak ke paas ek hazaar behtareen libaas hota hai aur phir us ki qabr ko qayamat tak ke liye kushada wa wasee' bana deta hai aur namaz padhne wale ko woh tamam nekiyan ata kar deta hai jin par sooraj ki roshni padti ho. Aur us ke chalees darje buland kar diye jaate hain.