وَلَاحَوْلَ وَ لَا قُوَّةَ اِلَّا بِاللّٰهِ الْعَلِىِّ الْعَظِيْمِ
Is namaz ka tareeqa yeh hai ke jab kisi kaam ka iraada kare to Khuda se istikhara karne ke liye kaaghaz ke chheh 6 chhoote kaaghaz le kar teen par likhe:
اَللّٰهُمَّ امْسَحْ عَنِّىْ مَا اَحْذَرُ۔
Phir teen kaaghaz par yeh likhe:
بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Khuda ke naam se jo bada reham karne wala Meherbaan hai
خِيَرَةٌ مِنَ اللّٰهِ الْعَزيْزِ الْحَكِيْمِ لِفُلَانِ بْنِ فُلَانِ اِفْعَلْ لَاتَفْعَلْ۔
Talab-e-Khair hai Allah se jo Ghalbah o Hikmat wala hai falaan ibn falaan ke liye yeh kaam karoon
Phir us ko apni jaanamaaz ke neeche rakh kar do raka'at namaz padhe aur jab namaz khatam ho jaye to sajda mein ja kar sau 100 martaba:
اَسْتَخِيْرُ اللّٰهَ بِرَحْمَتِهِ خِيَرَةً فِىْ عَافِيَةٍ۔
Ab yeh kaam karoon Khuda ki rehmat ke waaste se is se khair talab karta hoon aur aasaani bhi.
Phir baith kar kahe:
اَللّٰهُمَّ خِرْلِىْ وَاخْتَرْلِىْ فِىْ جَمِيْعِ اُمُوْرِىْ
Ay Khuda! Mujhe khair ataa kar mere tamaam umoor mein behtari paida farma
فِىْ يُسْرٍ مِّنْكَ وَ عَافِيَةٍ۔
jismein sahoolat aur aasaani ho.
Phir tamam parchchon ko mila kar ek ek kar ke nikaale. Agar teen adad "If'al" behtar aa jayen to woh kaam anjaam de aur agar teen "La taf'al" mana' nikalen to us kaam ko anjaam na de aur agar ek "If'al" behtar aur doosra "La taf'al" mana' aaye to paanch tak nikaal kar dekhein. Agar teen "If'al" aur do "La taf'al" hain to us ko anjaam dein aur agar us ke bar-aks ho to anjaam na dein.