Saahib-e-Jawaahir ka Istikhara
Jaleel ul-Qadr faqeeh Saahib-e-Jawaahir-ul-Kalaam ne farmaya hai ke ek istikhara aur bhi hai jo hamare ahl-e-zamana ke nazdeek raa'ij hai aur us ki nisbat hamare Aaqa Hazrat Imam-e-Zamana a.s. 'ajjallalahu farajahum ki taraf di jati hai. Uska tareeqa yeh hai ke salawat aur du'a ke baad tasbeeh ke daane pakde aur aath aath kar ke shumaar kar. Agar ek baqi rahe to theek hai aur agar do 2 baqi rahein to goya mana' hai aur agar teen adad baqi bachein to ikhtiyaari hai aur uska karna ya na karna barabar hai aur agar chaar baqi rahein to us mein dohri mumani'at hai aur agar paanch baqi rahein to baaz logon ne kaha ke us mein mushkilaat pesh aayengi aur baaz ne kaha hai ke sharmindagi hogi. Agar chheh 6 baqi rahein to bahut behtar hai aur agar saat aayen to paanch daanon ki tarah hai aur agar aath 8 poore hon to mukammal mumani'at hai.