EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Namaz-e-Digar Izafa-e-Rizq
Jab tum apni dukaan par jaana chaho to pehle Masjid mein ja kar do raka'at ya chaar raka'at namaz padho aur phir kaho:
غَدَوْتُ بِحَوْلِ اللهِ وَ قُوَّتِهِ
Main ne subah ki hai Allah ki quwwat aur uski taaqat ke sahaare.
وَ غَدَوْتُ بِلَا حَوْلٍ مِّنِّىْ وَلَا قُوَّةٍ
Main ne subah ki hai jismein na koi taaqat hai aur na koi quwwat hai.
وَلٰكِنْ بِحَوْلِكَ وَ قُوَّتِكَ يَا رَبِّ
Jo kuch hai Khoodaya woh teri hi quwwat hai.
اَللّٰهُمَّ اِنّى عَبْدُكَ
Khoodaya main tera banda-e-naacheez hoon
اَلْتَمِسُ مِنْ فَضْلِكَ كَمَا اَمَرْتَنِىْ
tere fazl ka sawaal karta hoon jiska tu ne hukm diya hai
فَيَسِّرْ لِىْ ذٰلِكَ وَ اَنَا خَافِضٌ فِىْ عَافِيَتِكَ
lihaaza mere liye fazl ke raaston ko aasaan kar de aur mujhe aafiyat inaayat farma.
Ziyaadati Rozi ki Ek Aur Namaz
Yeh do raka'at namaz hai pehli raka'at mein Hamd ek martaba aur Surah-e-Kausar Surah number 108 teen martaba aur doosri raka'at mein Hamd ek martaba aur donon Qul A'uzu bi-Rabbil Falaq aur Qul A'uzu bi-Rabbin Naas teen teen martaba padhe.