Shab-e-Juma aur Shab-e-Eid mein Namaz-e-Haajat
Sayyid bin Ta'us ra ne riwayat ki hai ke Shab-e-Juma aur Eid-ul-Adha ki raat mein do raka'at namaz padho aur har raka'at mein Surah-e-Fatiha mein aayat ko sau 100 dohraao:
Parwardigaar! Hum teri hi ibaadat karte hain aur tujhi se madad chahte hain
Phir Surah-e-Hamd ko tamam kar ke do sau 200 martaba Surah-e-Tauheed padho aur jab salaam padh lo to sattar 70 martaba kaho:
لَا حَوْلَ وَ لَا قُوَّةَ اِلَّا بِاللهِ الْعَلِىِّ الْعَظِيْمِ۔
Nahin koi taaqat o quwwat magar jo Buland o Buzurg Khuda se hai
Phir sajde mein ja kar do sau 200 martaba kahe:
يَا رَبِّ۔
Ay Parwardigaar!
Phir jo haajat ho use talab karo. Insha Allah poori ho gi.