Paak-o-Paakeezah hai woh Khuda
وَ اللهُ اَكْبَرُ،
Woh sab say Buzurg hai.
وَ لَاۤ اِلٰهَ اِلَّا اللهُ
Aur us kay 'ilaawah koi Khuda nahin hai.
اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اٰلِ مُحَمَّدٍ»
Khudaaya Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) par rehmat naazil farma
ka wird karna aur ba-kasrat salawat bhejna ke riwayat mein waarid hua hai ke Juma ki raat noorani hai aur us ka din aur zyada noorani hai lehaza kasrat ke saath Subhaanallah wa Alhamdolillah wa Laa Ilaaha Illallah wa Allahu Akbar kaho aur kasrat ke saath Muhammad (S) wa Aal-e-Muhammad (S) par salawat padho. Doosri riwayat mein hai ke is shab mein kam se kam sau martaba salawat padho aur jis qadar zyada padhoge zyada behtar hoga.