EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Rasool-e-Akram (S) se naql kiya gaya hai ke jo shakhs bhi is du'a ko Shab-e-Juma ya Roz-e-Juma saat martaba padhega aur is shab ya is roz mein mar jaayega woh Behisht mein daakhil hoga. Du'a yeh hai:
اَللّٰهُمَّ اَنْتَ رَبِّيْ
Khudaaya tu mera Rabb hai.
لَاۤ اِلٰهَ اِلَّا اَنْتَ
Teray 'ilaawah koi Khuda nahin hai.
خَلَقْتَنِيْ وَ اَنَا عَبْدُكَ وَ ابْنُ اَمَتِكَ
Tu nay mujh ko paida kiya hai aur mein tera bandah hoon, teri kaneeza ka beta hoon,
وَ فِي قَبْضَتِكَ وَ نَاصِيَتِيْ بِيَدِكَ
teray qabzah mein hoon, mera ikhtiyaar teray haath mein hai,
اَمْسَيْتُ عَلٰى عَهْدِكَ وَ وَعْدِكَ مَا اسْتَطَعْتُ
mein nay teray 'ahd aur wa'day par yeh shaam ki hai. Jahaan tak meray imkaan mein hoga 'amal karoon ga,
اَعُوْذُ بِرِضَاكَ مِنْ شَرِّ مَا صَنَعْتُ
Khudaaya mein teri panaah chahta hoon har us buraa'i say jo
اَبُوۤءُ بِنِعْمَتِكَ [بِعَمَلِيْ‏] وَ اَبُوۤءُ بِذَنْبِيْ [بِذُنُوْبِي‏]
mein nay ki hai aur is baat say mein teri ne'maton mein zindagi guzaaroon aur phir teray gunaah karta rahoon.
فَاغْفِرْ لِيْ ذُنُوْبِيْ
Khudaaya meray gunaahon ko ma'aaf kar day kay
اِنَّهُ لَا يَغْفِرُ الذُّنُوْبَ اِلَّا اَنْتَ ۔
gunaahon ko teray 'ilaawah koi ma'aaf nahin kar sakta hai.