EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Namaz Hazrat Ja'far Tayyar Alaihissalam
Is namaz ko Ikseer-e-A'zam aur Qurbat-e-Ahmar se ta'beer kiya gaya hai aur intehaai mo'tabar asnaad ke saath us ke be-shumaar fazaa'il waarid hue hain jin mein bade bade gunaahon ki bakhshish bhi shaamil hai. Is ka behtareen waqt Roz-e-Juma ka aaghaaz hai. Yeh chaar raka'at namaz hai do tashahhud wa salaam ke saath. Pehli raka'at mein Surah al-Faatehah ke baad Surah al-Zalzalah, doosri raka'at mein Surah al-Faatehah ke baad al-’Adiyat,, teesri raka'at mein Surah al-Faatehah ke baad al-Nasr, aur chauthi raka'at mein Surahs al-Faatehah ke baad al-Tawheed.. Aur har raka'at mein qira'at ke baad pandrah martaba:
سُبْحَانَ اللّٰهِ
Paak-o-Paakeezah hai woh Khuda
وَ الْحَمْدُ لِلّٰهِ
aur hamd usi kay liye hai.
وَ لَاۤ اِلٰهَ اِلَّا اللهُ
Aur us kay 'ilaawah koi Khuda nahin hai.
وَ اللهُ اَكْبَرُ۔
Woh sab say Buzurg hai.
Is ke baad ruku mein, ruku ke sir uthane ke baad pehle sajda mein, donon sajdon ke darmiyan, doosre sajda mein, doosre sajda ke baad das das martaba yahi tasbeehaat padhe jis ka majmoo'a har raka'at mein 75 martaba hoga. Sheikh Kulayni ra ne Abu Sa'eed Madaini se riwayat ki hai ke Imam Ja'far Sadiq a.s. ne farmaya kya tumhein aisi cheez ta'leem na doon jis ko tum Namaz-e-Ja'far Tayyar mein padha karo to maine arz ki ke beshak. Farmaya jab chauthi raka'at ke aakhri sajda mein jaao to tasbeehaat-e-arba'ah ke baad yeh du'a padho.
سُبْحَانَ مَنْ لَبِسَ الْعِزَّ وَ الْوَقَارَ
Paakeezah hai woh jis ka libaas 'izzat aur waqaar hai,
سُبْحَانَ مَنْ تَعَطَّفَ بِالْمَجْدِ وَ تَكَرَّمَ بِهِ
Paakeezah hai woh jo mehrbaani aur karam karnay waala hai.
سُبْحَانَ مَنْ لَا يَنْبَغِيْ التَّسْبِيْحُ اِلَّا لَهُ
Paakeezah hai woh jis kay 'ilaawah koi laa'iq-e-tasbeeh nahin hai.
سُبْحَانَ مَنْ اَحْصٰى كُلَّ شَيْ‏ءٍ عِلْمُهُ
Paakeezah hai woh jis ka 'ilm har shai' ka ehsaa kiye huay hai.
سُبْحَانَ ذِي الْمَنِّ وَ النِّعَمِ
Paakeezah hai woh jo saahib-e-ehsaan-o-ne'mat hai.
سُبْحَانَ ذِي الْقُدْرَةِ وَ الْكَرَمِ
Paakeezah hai woh jo saahib-e-qudrat-o-karam hai.
اَللّٰهُمَّ اِنِّي اَسْاَلُكَ بِمَعَاقِدِ الْعِزِّ مِنْ عَرْشِكَ
Khudaaya mein teray 'Arsh-e-'A'zam kay maqaamaat-e-'izzat-o-jalaalat
وَ مُنْتَهَى الرَّحْمَةِ مِنْ كِتَابِكَ
aur teri kitaab kay intehaa'ay rehmat kay waseelah say
وَ اسْمِكَ الْاَعْظَمِ
aur teray Ism-e-A'zam
وَ كَلِمَاتِكَ التَّآمَّةِ
aur teray Kalimaat-e-Taammah kay zariyeh say
الَّتِي تَمَّتْ صِدْقًا وَ عَدْلًا
jo sidq-o-'adl kay saath tamaam huay hain
صَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اَهْلِ بَيْتِهِ
yeh sawaal karta hoon kay Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) par rehmat naazil farmaa day aur hamaari haajaton ko poora farmaa day
وَ افْعَلْ بِيْ كَذَا وَ كَذَا۔
(Is ki jagah haajat talab kare)
Is ke baad apni haajat talab kare.
Sheikh ra aur Sayyid ra ne Mufazzal bin Umar se riwayat ki hai ke maine Imam Ja'far Sadiq a.s. ko dekha ke Aap ne Namaz-e-Ja'far Tayyar tamam karne ke baad haathon ko buland kiya aur is tarah du'a padhi ek saans ke barabar
«يَا رَبِّ يَا رَبِّ»
Ay meray Rabb! Ay meray Rabb!
ek saans ke barabar
«يَا رَبَّاهُ يَا رَبَّاهُ»
Ay meray Parwardigaar! Ay meray Parwardigaar!
ek saans ke barabar
«رَبِّ رَبِّ»
Meray Rabb! Meray Rabb!
ek saans ke barabar
«يَا اَللهُ يَا اَللهُ»
Ay Allah! Ay Allah!
ek saans ke barabar
«يَا حَىُّ يَا حَىُّ»
Ay Zindah! Ay Zindah!
ek saans ke barabar
«يَا رَحِيْمُ يَا رَحِيْمُ»
Ay Mehrbaan! Ay Mehrbaan!
saat martaba
«يَا رَحْمٰنُ يَا رَحْمٰنُ»
Ay baṛay rahm waalay! Ay baṛay rahm waalay!
saat martaba
«يَا اَرْحَمَ الرَّاحِمِيْنَ»
Ay sab say ziyadah rahm karnay waalay!
Is ke baad Aap ne yeh du'a padhi.
اَللّٰهُمَّ اِنِّيْ اَفْتَتِحُ الْقَوْلَ بِحَمْدِكَ
Khudaaya mein apni guftugoo ka aaghaaz teri hamd say karta hoon
وَ اَنْطِقُ بِالثَّنَاۤءِ عَلَيْكَ
aur teri buzurgi bayaan karta hoon kay
وَ اُمَجِّدُكَ وَ لَا غَايَةَ لِمَدْحِكَ
teri madh ki koi intihaa nahin hai.
وَ اُثْنِيْ عَلَيْكَ وَ مَنْ يَبْلُغُ غَايَةَ ثَنَاۤئِكَ وَ اَمَدَ مَجْدِكَ
Mein teri thanaa zaroor karta hoon lekin teri thanaa ki hadd aur teri buzurgi ki intihaa ko kaun paa sakta hai
وَ اَنَّى لِخَلِيْقَتِكَ كُنْهُ مَعْرِفَةِ مَجْدِكَ
aur makhlooqaat kay bas mein kahaan hai kay teri buzurgi ko pehchaan sakain.
وَ اَيَّ زَمَنٍ لَمْ تَكُنْ مَمْدُوْحًا بِفَضْلِكَ
Woh kaun saa zamaanah thaa jab tu apnay fazl say qaabil-e-madh,
مَوْصُوْفًا بِمَجْدِكَ
apni buzurgi say laa'iq-e-tawsif
عَوَّادًا عَلَى الْمُذْنِبِيْنَ بِحِلْمِكَ
aur apnay hilm say gunahgaaron par musalsal mehrbaani karnay waala nahin thaa.
تَخَلَّفَ سُكَّانُ اَرْضِكَ عَنْ طَاعَتِكَ
Zameen kay baashindon nay teri itaa'at say takhalluf kiya
فَكُنْتَ عَلَيْهِمْ عَطُوْفًا بِجُوْدِكَ
lekin tu apnay karam say mehrbaan hai
جَوَادًا بِفَضْلِكَ
apnay fazl say ehsaan karnay waala
عَوَّادًا بِكَرَمِكَ
aur apnay karam ko musalsal shaamil-e-haal karnay waala hai.
يَا لَاۤ اِلٰهَ اِلَّا اَنْتَ الْمَنَّانُ
Ay woh Khuda jis kay 'ilaawah koi Khuda nahin hai
ذُو الْجَلَالِ وَ الْاِكْرَامِ۔
jo intehaa'i ehsaan karnay waala aur Saahib-e-Jalaal-o-Ikraam hai.
Is ke baad Hazrat ne farmaya ke Aye Mufazzal jab bhi koi haajat dar pesh ho to Namaz-e-Ja'far Tayyar adaa kar ke is du'a ko padho aur Parwardigaar se haajat talab karo. Insha haajat poori ho jaayegi.
Mu'allif: Sheikh Tusi ra ne haajat bar aari ke liye Imam Sadiq a.s. se riwayat ki hai ke Buddh, Jume'raat, Juma ko roza rakho aur Jume'raat ke din jab shaam tak waqt ho jaaye to das masaakeen ko teen paao fi kas ke hisaab se sadqa do aur Juma ke din ghusl kar ke sehra mein ja kar Namaz-e-Ja'far Tayyar adaa karo aur phir ghutne khol kar zameen se mila kar yeh du'a padho.
يَا مَنْ اَظْهَرَ الْجَمِيْلَ
Ay woh Parwardigaar jis nay nekiyon ka izhaar kiya
وَ سَتَرَ [عَلَيَ‏] الْقَبِيْحَ
aur buraa'iyon ki pardah-poshi kar dee,
يَا مَنْ لَمْ يُؤَاخِذْ بِالْجَرِيْرَةِ
Ay woh Maalik jis nay jaraa'im ka mu'aakhizah nahin kiya
وَ لَمْ يَهْتِكِ السِّتْرَ
aur 'uyoub ka pardah chaak nahin kiya
يَا عَظِيْمَ الْعَفْوِ
Ay 'Azeem 'Afw waalay,
يَا حَسَنَ التَّجَاوُزِ
Ay Behtareen Darguzar karnay waalay.
يَا وَاسِعَ الْمَغْفِرَةِ
Ay Wasee' Maghfirat waalay.
يَا بَاسِطَ الْيَدَيْنِ بِالرَّحْمَةِ
Ay donon haathon say rehmat 'ataa karnay waalay.
يَا صَاحِبَ كُلِّ نَجْوٰى
Ay har makhfi raaz kay hamraaz
وَ مُنْتَهٰى كُلِّ شَكْوٰى
aur har faryaad ki aakhiri manzil.
يَا مُقِيْلَ الْعَثَرَاتِ
Ay laghzish say sanbhaalnay waalay.
يَا كَرِيْمَ الصَّفْحِ
Ay Behtareen Ma'aaf karnay waalay.
يَا عَظِيْمَ الْمَنِّ
Ay 'Azeem Ehsaan waalay.
يَا مُبْتَدِئًا بِالنِّعَمِ قَبْلَ اسْتِحْقَاقِهَا
Ay istihqaaq say pehlay 'ataa karnay waalay.
يَا رَبَّاهُ يَا رَبَّاهُ يَا رَبَّاهُ،
Ay meray Parwardigaar! Ay meray Parwardigaar!
Is ke baad das martaba
«يَا اَللهُ يَا اَللهُ يَا اَللهُ‏»
Ay Allah! Ay Allah! Ay Allah!
Is ke baad das martaba
«يَا سَیِّدَاهُ يَا سَيِّدَاهُ»
Ay meray Sayyid-o-Sardaar! Ay meray Sayyid-o-Sardaar!
Is ke baad das martaba
«يَا مَوْلَايَاهُ،يَا مَوْلَايَاهُ»
Ay meray Mawla! Ay meray Mawla!
Is ke baad das martaba
«يَا رَجَاۤءَاهُ»
Ay meri ummeed!
Is ke baad das martaba
«يَا غِيَاثَاهُ»
Ay Panaah denay waalay!
Is ke baad das martaba
«يَا غَايَةَ رَغَبَتَاهُ»
Ay meri raghbat ki intihaa!
Is ke baad das martaba
«يَا رَحْمٰنُ»
Ay Rahmaan!
Is ke baad das martaba
«يَا رَحِيْمُ»
Ay Raheem!
Is ke baad das martaba
«يَا مُعْطِىَ الْخَيْرَاتِ»
Ay bhalaa'iyaan 'ataa karnay waalay!
Is ke baad das martaba
«صَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اٰلِ مُحَمَّدٍ
Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) par ziyadah-o-paakeezah rehmat farma
كَثِيْرًا طَيِّبًا
jaisi behtareen
كَاَفْضَلِ مَا صَلَّيْتَ عَلٰى اَحَدٍ مِنْ خَلْقِكَ»
rehmat tu nay apni makhlooq mein kisi par ki hai.
Mu'allif ka bayan hai ke in teen dinon mein roza aur Roz-e-Juma waqt-e-zawaal do raka'at Namaz-e-Haajat mein ba-kasrat riwaayat waarid hui hain.