EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Fazilat Ziyarat Ambiyaa a.s.
Ziyarat Ambiyaa-e-'Izaam aur Ziyarat Imam Zādāgān-e-'Ālī Maqaam aur Ziyarat Quboor-e-Momineen. Is maqaam par teen mataalib hain. Pehla Matlab. Ziyarat Paighambaraan Kiraam ke baare mein. Waazih rahe ke Ambiyaa-e-Kiraam ki ta'zeem wa takreem 'aqlan bhi zaroori hai aur shar'an bhi aur hamare aqeede mein Ambiyaa ke darmiyaan koi tafarraqa nahin hai un ki ziyarat behtareen pasandeeda amal hai aur 'ulamaa ne us ke istehbaab ki sarāhat farmaai hai. Ambiyaa ki ta'daad agarche bahut zyada hai lekin un ki jaani pehchaani qabrein bahut kam hain. Is waqt jo hamare pesh-e-nazar hain un mein chand qabrein hain. Janaab Adam a.s. wa Nooh a.s. jo Marqad-e-Munawwar Ameer-ul-Momineen a.s. mein dafn hain. Janaab Ibraheem a.s. jo sheher Quds mein Bait-ul-Muqaddas ke paas madfoon hain aur un ke jawaar mein Janaab Saarah jo un ki zaujah hain aur Janaab Ishaaq a.s. wa Ya'qūb a.s. wa Yoosuf a.s. bhi madfoon hain aur Hazrat Isma'eel a.s. aur un ki maadar-e-giraami Masjid-ul-Haram mein Hujr-e-Isma'eel a.s. mein madfoon hain aur wahaan digar Ambiyaa ki qabrein bhi hain Hazrat Imam Muhammad Baqir a.s. se manqool hai ke Rukn wa Maqaam ke darmiyaan ki jagah quboor-e-Ambiyaa se bhari hui hai aur Imam Sadiq a.s. se manqool hai ke Rukn-e-Yamaanī aur Hajar-e-Aswad ke darmiyaan sattar Paighambar madfoon hain aur Bait-ul-Muqaddas mein bhi kuch Paighambaron ki qabrein hain. Hazrat Da'ūd a.s. wa Sulaimān a.s. ki qabrein wahaan ke logon ke nazdeek mash'hoor hain. Janaab Zakariyya a.s. ki qabr Tayyib mein ma'roof hai. Janaab Hūd a.s. wa Ṣāliḥ a.s. ki qabr Najaf Ashraf mein Wādī as-Salām mein hai aur Janaab Dhū al-Kifl a.s. Shatt-e-Furāt ke kinaare Koofe ke qareeb chand farsakh par hain. Sheher Mauṣil mein Janaab Idrees a.s. Paighambar ki qabr hai aur bairoon sheher qabr Janaab Shīth a.s. hai Shūsh mein qabr Dāniyāl a.s. Paighambar hai. Aur Masjid Buraasa ke qareeb Janaab Yūsha' a.s. ki qabr hai jo fil haal ma'loom nahin hai.