Is ke baad du'a karein aur Khuda se sawaal karein ke dobaarah phir ziyaarat se sharafyaab hon aur Allama Majlisi ra ne Bihaar mein ek mufassal ziyaarat ba'z qadeem nuskhon se naql ki hai. Magar chunke un ke aur doosre hazraat ke bayan ke mutabiq Ziyarat-e-Jaame'a sab se behtar hai jis ka zikr is ke baad kiya jaayega lehaza hum ne isi ziyaarat ko kaafi qaraar diya hai.