Aur Bait-ut-Tasht woh jagah hai jahaan Ameer-ul-Momineen a.s. ne us ladki ke baare mein faisla kiya tha jo baghair shauhar ke thi aur ek din naha rahi thi ke ek jonk us ke badan mein daakhil ho gayi... yahan tak logon ne khayaal kiya ke yeh haamila hai aur chaaha ke bad-kirdaar qaraar de kar use qatl kar dein lekin jab Ameer-ul-Momineen a.s. ke paas laaye to Aap ne hukm diya ke Masjid mein ek taraf parda kheench diya jaaye aur us ladki ko baitha diya jaaye. Koofa ki qaabila daa'i ko bulaaya gaya ke woh tehqeeq kare. Qaabila ne tehqeeq ke baad kaha ke yeh ladki haamila hai aur us ke shikam mein bachcha hai. Hazrat ne hukm diya ke gande paani se ek tasht bhara jaaye aur ladki ko us mein baitha diya jaaye. Jaise hi jonk ne gande paani ki boo mehsoos ki fauran bachchi ke shikam se baahar aagayi. Aur ba'z riwayat mein hai ke Hazrat ne haath badha kar Shaam ke pahaad se barf ka ek tukda uthaaya aur us tasht ke paas rakh diya taa ke woh jaanwar us bachchi ke shikam se baahar aa jaaye.
A'maal Masjid Buzurg Koofa
Neez waazih rahe ke Masjid ke a'maal ki tarkeeb mein mash'hoor yahi hai ke sutoon chahaarum ke a'maal ke baad wast-e-Masjid mein jaayen aur wahaan ke a'maal baja laayen aur Dukkat-ul-Qazaa aur Bait-ut-Tasht ke a'maal mein sab ke baad Dukkah Imam Sadiq a.s. se faarigh hone ke baad baja laayen lekin hum ne tarteeb se naql kiya hai jaise Sayyid bin Ta'us ra ne Misbah-uz-Zaa'ir mein, Allama Majlisi ra ne Bihaar mein aur Sheikh Khizr ra ne Mazaar mein naql kiya hai. Agar koi shakhs tarteeb mash'hoor par amal karna chahe to A'maal Dukkat-ul-Qazaa aur Bait-ut-Tasht ko sutoon chahaarum ke baad baja laaye. Aur aakhir mein Maqaam Imam Sadiq a.s. ke baad baja laaye. Baharhaal is ke baad Dukkat-ul-Qazaa ki taraf jaa kar do raka'at namaz adaa kare Hamd aur jis Surah ke saath chahe. Namaz ke baad Tasbeeh-e-Janaab-e-Zahra a.s. padhe aur kahe.
يَا مَالِكِيْ وَ مُمَلِّكِيْ
وَ مُتَغَمِّدِيْ [مُعْتَمَدِيْ] بِالنِّعَمِ الْجِسَامِ
مِنْ غَيْرِ اسْتِحْقَاقٍ
وَجْهِيْ خَاضِعٌ لِمَا تَعْلُوْهُ الْاَقْدَامُ
لِجَلَالِ وَجْهِكَ الْكَرِيْمِ
لَا تَجْعَلْ هٰذِهِ الشِّدَّةَ وَ لَا هٰذِهِ الْمِحْنَةَ
مُتَّصِلَةً بِاسْتِيْصَالِ الشَّأْفَةِ
وَ امْنَحْنِيْ مِنْ فَضْلِكَ
مَا لَمْ تَمْنَحْ بِهِ اَحَدًا مِنْ غَيْرِ مَسْاَلَةٍ
اَنْتَ الْقَدِيْمُ الْاَوَّلُ
الَّذِيْ لَمْ تَزَلْ وَ لَا تَزَالُ
صَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اٰلِ مُحَمَّدٍ
وَ اغْفِرْ لِيْ وَ ارْحَمْنِيْ
وَ زَكِّ عَمَلِيْ
وَ بَارِكْ لِيْ فِيْ اَجَلِيْ
وَ اجْعَلْنِيْ مِنْ عُتَقَاۤئِكَ وَ طُلَقَاۤئِكَ مِنَ النَّارِ
بِرَحْمَتِكَ يَاۤ اَرْحَمَ الرَّاحِمِيْنَ۔
A'maal Bait-ut-Tasht: Ko Dukkat-ul-Qazaa se muttasil hai. Wahaan do raka'at namaz adaa kare. Salaaam ke baad kahe.
اَللّٰهُمَّ اِنِّيْ ذَخَرْتُ تَوْحِيْدِيْ اِيَّاكَ
وَ مَعْرِفَتِيْ بِكَ
وَ اِخْلَاصِيْ لَكَ
وَ اِقْرَارِيْ بِرُبُوْبِيَّتِكَ
وَ ذَخَرْتُ وِلَايَةَ مَنْ اَنْعَمْتَ عَلَيَّ بِمَعْرِفَتِهِمْ مِنْ بَرِيَّتِكَ
مُحَمَّدٍ وَ عِتْرَتِهِ صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِمْ
لِيَوْمِ فَزَعِيْ اِلَيْكَ عَاجِلًا وَ اٰجِلًا
وَ قَدْ فَزِعْتُ اِلَيْكَ وَ اِلَيْهِمْ يَا مَوْلَايَ
فِيْ هٰذَا الْيَوْمِ وَ فِيْ مَوْقِفِيْ هٰذَا
وَ سَاَلْتُكَ مَآدَّتِيْ [مَا زَكٰى] مِنْ نِعْمَتِكَ
وَ اِزَاحَةَ مَاۤ اَخْشَاهُ مِنْ نِقْمَتِكَ
وَ الْبَرَكَةَ فِيْمَا رَزَقْتَنِيْهِ
وَ تَحْصِيْنَ صَدْرِيْ مِنْ كُلِّ هَمٍّ
وَ جَاۤئِحَةٍ وَ مَعْصِيَةٍ
فِيْ دِيْنِيْ وَ دُنْيَايَ وَ اٰخِرَتِيْ
يَاۤ اَرْحَمَ الرَّاحِمِيْنَ۔
Riwayat mein bhi hai Imam Sadiq a.s. Bait-ut-Tasht mein do raka'at namaz adaa karte the.