EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Ulamaa Ahl-e-Sunnat Ibn-e-Battoota ka Bayan
2. Ziyarat Hazrat Ameer-ul-Momineen Alaihissalam jo is raat ke behtareen a'maal mein hai aur is raat mein Hazrat ki teen ziyaartein hain jo ziyarat ke baab mein Insha'Allah aayengi. Waazih rahe ke Abū 'Abdullāh Muḥammad bin Baṭūṭah jo 'ulamaa Ahl-e-Sunnat mein hain aur chheh sau saal qabl guzar chuke hain unhon ne apne Safarnama mein jo Safarnama-e-Ibn-e-Baṭūṭah ke naam se mash'hoor hai apne Makkah Mu'azzamah se Najaf Ashraf waarid hone ka tazkira kiya hai aur Rauza wa qabr Imam Ameer-ul-Momineen Hazrat Ali a.s. ka zikr karte hue kaha hai ke "Is sheher ke tamaam log Raafezi hain aur is Rauza se bahut si karamatein zaahir hoti hain." Un mein se ek yeh hai ke sattaeeswein Rajab ki raat jis ko woh log Lailat-ul-Maḥyā kehte hain us mein 'Irāqain, Khurāsān, Fārs, Rūm se mashlool, maflūj aur zameen geer afraad ko laate hain aur un mein se taqreeban tees chaalees afraad jama' ho jaate hain. 'Ishaa ke baad un mubtala afraad ko zareeh muqaddas ke paas laa kar jama' kar dete hain aur log un ke achhe hone aur khade hone ka intezaar karte hain. Phir ba'z log un mein se namaz mein aur ba'z zikr aur ba'z tilaawat-e-Quran aur ba'z Rauza ko dekhne mein mashghool rehte hain. Yahan tak ke aadhee raat ya do tihā'i raat guzar jaati hai us waqt yeh tamaam mareez log jo harkat bhi nahin kar sakte the sahih aur tandurust haalat mein uṭh jaate hain aur un mein kisi qism ka marz nahin hota hai aur kehte hain.
Yeh amr bahut mash'hoor hai lekin maine is raat ko nahin dekha hai albatta mūsīq wa mo'tabar logon se suna hai aur phir us madarsa ko dekha jo Aan Hazrat ka mehmaan khaana hai ke teen zameen geer afraad jo harkat karne ki qudrat nahin rakhte the, ek Rūm ka rehne waala tha, doosra Iṣfahān ka aur teesra Khurāsān ka, maine un se poochha ke "Tum log kyun theek nahin hue aur yahan reh gaye" to unhon ne kaha ke "Sattaeeswein raat tak hum yahan nahin pahunche aur ab hum agle saal tak rahenge taa ke shifa paa jaayen." Is raat mein sheher ke aksar log jama' hote hain aur das din tak ek bada bazaar laga rehta hai.
Mu'allif: Is amr mein koi ta'ajjub nahin hona chahiye ke jo mo'jizaat aur karamaat un mashaahid-e-muqaddasah se zuhoor mein aaye hain woh tawātur ko pahunche hue hain aur un mo'jizaat ka ehsaa bhi nahin ho sakta hai aur guzhishta Maah-e-Shawwāl 1343 Hijri mein Haram Mutahhar Imam Ḍāmin Sāmin Hazrat Ali Raza Alaihissalam mein bhi teen aurton mein shifa paayi hai jo sab ki sab faalij wagherah ki binā par zameen geer ho gayeen thin aur ṭabīb aur ḍākṭar hazraat un ke ilaaj se 'aajiz the. Yeh mo'jizaat har shakhs par isi tarah waazih hain jaise sooraj ka aasmaan par hona masalan Najaf Ashraf ke darwaazon ka 'Arabon ke liye khul jaana aur yeh baat itni waazih thi ke un aurton ke ḍākṭaron ne bhi tasdeeq ki aur agar hamara maqsood ikhtisaar na hota aur is waqt naa-munaasib na hota to hum is ko zaroor naql karte aur Sheikh Hurr-e-'Aamili ne apne arjoozah mein bahut umdah farmaya hai