Maah-e-Mubaarak Ramazaan mein Rasool-e-Akram (S) ka Khutba
Sheikh Sadooq ra ne mo'tabar sanad ke saath Imam Raza a.s. se riwayat ki hai aur Aap ne apne buzurgon ke hawaale se Ameer-ul-Momineen a.s. se naql kiya hai ke Rasool-e-Akram (S) ne ek din yeh khutba irshaad farmaya ke: — “Ayyuhan Naas! Maah-e-Ramadaan barkat wa rehmat wa maghfirat ke saath aa raha hai. Yeh woh maheenah hai jo Khuda ki nazar mein behtareen maheenah hai. Us ke din behtareen din, us ki raatein behtareen raatein, aur us ki saa'atein behtareen saa'atein hain. Yeh woh maheenah hai jis mein tum ko Khuda ki mehmaani mein bulaaya gaya hai aur tumhein ahl-e-karaamat mein shumaar kiya gaya hai. Tumhari saansein tasbeeh ka sawaab rakhti hain, tumhaari neend 'ibaadat hai aur tumhare a'maal maqbool hain. Tumhari du'a'ein is maheenah mein mustajaab hain lehaza Parwardigaar se achchi niyat aur paakeezah dil ke zariye du'a karo taa ke tumhein is maheenah mein roza rakhne aur tilaawat-e-Quran karne ki taufeeq 'inaayat farmaaye. Shaqī aur bad-bakht woh shakhs hai jo is maheenah mein bakhshish se mahroom reh jaaye. Yahaan ki bhook aur pyaas se Qiyaamat ki bhook aur pyaas ka ehsaas karo. Faqeeron aur masaakeen ko sadqa do. Buzurgon ka ehteraam karo. Bachchon par reham karo. Aqaarib par nawaazish karo. Apni zabaanon ko burā'iyon se alag rakho. Apni nigaahon ko neechi rakho un cheezon se jo tumhare liye halaal nahin hain. Kaanon se woh cheezein na suno jin ka sunna haraam hai. Yateemon par meherbani karo taa ke log tumhare baad tumhare yateemon par meherbani karein. Gunaahon ko chhod kar Khuda ki taraf mutawajjeh ho jao. Apne haathon ko du'aon ke liye auqaat-e-namaz mein buland rakho jo behtareen waqt-e-du'a hai aur Parwardigaar is waqt mein bandon par nigaah-e-marhamat karta hai aur du'aon ko qabool karta hai agar woh munajaat karte hain to sun leta hai. Aye woh logo jin ki zindagiyaan un ke a'maal ke haathon rehn hain Khuda ki bakhshish talab karo aur agar tumhari pusht gunaahon ke bojh se sangeen ho gayi hai to tūl-e-sajda se use halka banao aur yeh yaad rakho ke Parwardigaar ne apni 'Izzat wa Jalaal ki qasam khaai hai ke namaz guzaar aur sajda guzaar bandon par is maheenah mein azaab nahin karega aur unhein Aatish-e-Jahannam se nahin jalaayega.
Ayyuhan Naas! Jo shakhs is maheenah mein kisi momin ko iftaar karaayega Parwardigaar use ghulaam azaad karne aur guzhishta gunaahon ki bakhshish ka sawaab 'inaayat karega. Ba'z aṣḥāb ne arz ki ke Ya Rasoolullah (S) har shakhs ke paas to itni taaqat nahin hai. Farmaya ke "Apne ko iftaar ke zariye Aatish-e-Jahannam se bachao chahe aadha dana-e-khurma aur ek ghont paani hi kyun na ho. Parwardigaar us par bhi yahi sawaab dega agar insaan us se zyada par qaadir na ho."
Ayyuhan Naas! Is maheenah mein apne akhlaaq ko durust rakho taa ke us din Siraat se ba-aasaani guzar jao jis din saare qadam phisal rahe honge. Jo shakhs bhi is maheenah mein apne ghulamon aur kaneezon se kam kaam lega Khuda roz-e-qiyaamat us ke hisaab ko aasaan kar dega aur jo shakhs bhi is maah mein apne shar se logon ko bachaaye rakhega Parwardigaar use apne ghaẓab mein mubtala na karega aur jo shakhs bhi is maah mein kisi yateem ka ehteraam karega Khuda qiyaamat ke din use ba-'izzat bana dega. Jo shakhs bhi is maheenah mein apne aqribaa ke saath achha bartaa'o karega Khuda roz-e-qiyaamat us ke saath rehmat ka sulook karega aur jo shakhs bhi apne qaraabatdaaron ke saath achha bartaa'o na karega Khuda roz-e-qiyaamat apni rehmat ke rishta ko tod dega. Jo shakhs bhi is maheenah mein sunnati namaz adaa karega use jahannam se baraa'at ka parwaana milega aur jo shakhs bhi is maheenah mein waajib namaz adaa karega Parwardigaar use doosre maheenon ki sattar namazon ka sawaab 'inaayat farmaayega. Jo shakhs bhi is maheenah mein mujh par salawaat padhega Khuda us ke amal ke palle ko bhaari kar dega jis din logon ke palle halke honge. Jo shakhs bhi is maheenah mein ek aayah-e-Quran padhega Parwardigaar use doosre zamaane mein ek khatm-e-Quran ka sawaab dega.
Ayyuhan Naas! Yaad rakho ke is maheenah mein behisht ke darwaaze khul jaate hain lehaza Parwardigaar se du'a karo ke tumhare liye band na hon aur jahannam ke darwaaze band ho jaate hain, lehaza du'a karo ke woh tum par na khul jaayen. Shayaateen ko is maheene mein qaid kar diya jaata hai, du'a karo ke woh tum par musallat na ho jaayen.”
Sheikh Sadooq ra ki riwayat hai ke jab Maah-e-Ramadaan daakhil hota tha to Paighambar-e-Akram Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam tamaam aseeron ko azaad kar dete the aur har saa'il ko ata farma diya karte the. Mu'allif ka bayan hai ke Maah-e-Ramadaan Parwardigaar ka maheenah hai aur shareef aur azeem tareen maheenah hai. Is maheenah mein aasmaan aur behisht ke darwaaze khul jaate hain aur jahannam ke darwaaze band kar diye jaate hain aur isi maheenah mein woh raat bhi hai jis ki 'ibaadat hazaar maheenah se behtar hai. Lehaza dhyaan rakho ke tumhare shab wa roz kis tarah guzar rahe hain aur apne a'zaa wa jawaarih ko ma'ṣiyat-e-Parwardigaar se mahfooz rakho. Aisa na ho ke raat mein sote reh jao aur din mein yaad-e-Khuda se ghaafil reh jao. Ek riwayat mein waarid hua hai ke Maah-e-Ramadaan ke har din ke aakhir mein waqt-e-iftaar Parwardigaar das laakh afraad ko Aatish-e-Jahannam se azaad karta hai aur Shab-e-Juma aur Roz-e-Juma mein utne hi afraad ko har saa'at Aatish-e-Jahannam se azaad karta hai chahe woh kisi azaab ke mustahiq kyun na rahe hon. Aur us ke baad jab Maah-e-Ramadaan ki aakhiri shab ya aakhiri din aata hai to jitne poore Ramadaan mein azaad kiye gaye hain utne hi afraad ko aur azaad kar diya jaata hai. Lehaza 'azeezo aisa na ho ke Maah-e-Ramadaan guzar jaaye aur tumhaare gunaah baaqi reh jaayen aur jab roza rakhne waale roz-e-qiyaamat mein apna ajr haasil karein to tumhara shumaar mahroomeen mein ho jaaye. Maalik ki baargaah mein tilaawat-e-Quran ke zariye taqarrub haasil karo aur mukhtalif auqaat-e-fazīlat mein namaz aur kasrat-e-istighfaar ki ta'keed ki gayi hai. Imam Sadiq Alaihissalam ne farmaya ke jo shakhs Maah-e-Ramadaan mein bakhsha na jaayega us ki bakhshish aaindah saal tak nahin ho sakti hai magar yeh ke maidaan-e-'Arafa mein jaa kar istighfaar kare lehaza apne ko haraam se mahfooz rakho aur haraam cheezon se iftaar na karo aur woh tareeqa ikhtiyaar karo jis ki sifaarish Imam Sadiq Alaihissalam ne ki hai ke tum roza rakho to tumhare kaan, haath, baal, khaal aur tamaam a'zaa sab muharramaat bal ke makroohaat se bhi parhez karein aur khabardaar tumhara roza tumhare aam dinon ki tarah jin mein roza daar nahin ho na ho aur yaad rakho ke roza faqat khaane peene se parhez ka naam nahin hai bal ke roza mein insaan ko apni zabaan ko jhoot aur apni nigaahon ko naa-mahram se mahfooz rakhna chahiye aur kisi shakhs se jhagda nahin karna chahiye. Apne ko hasad se, ghībat se bachao, na kisi se hasad karo, jhagda karo aur na jhooṭī qasam khao bal ke sachchi qasam bhi na khao. Kisi ko gaali na do, zulm na karo, be-'aqli ka kaam na karo. Har ek se ranjeeda na ho aur yaad-e-Khuda se ghaafil na ho aur jo baat munaasib nahin hai us ke baare mein khaamosh raho aur sabr aur sachchaai se kaam lo. Apne ko ahl-e-shar se door rakho. Buri baaton, ghalat bayaani, iftiraa aur jhagde se aur bad-gumānī se aur ghībat wa tanqeed se mahfooz rakho aur soch lo ke aakhirat qareeb hai aur zuhoor-e-Imam ke muntazir raho. Aakhirat ke sawaab ke umeedwaar raho aur aakhirat ke liye zaad-e-raah taiyaar karo. Yeh tumhare liye zaroori hai ke dil aur jism ko muṭma'in rakho. Khuzu wa khushoo, inkisaari aur khaaksārī se kaam lo jaise koi banda apne Parwardigaar se darta hai. Azaab-e-Khuda se daro, rehmat-e-Khuda ke umeedwaar raho. Aye roza daaron apne dil ko tamaam 'uyūb se paak rakho. Apne baatin ko har heela wa makr se alag rakho aur apne badan ko har tarah ki kasaafat se paak rakho aur har ghair-e-Khuda se bezaar raho aur apni mohabbat ko Khuda ke liye khaalis bana do. Jin cheezon se us ne mana kiya hai 'elaaniya aur makhfi har tarah us se parhez karo. Khudā-e-Qahhaar se daro ke woh zaahir wa baatin har haal mein darne ke qaabil hai. Apne rooh wa jism ko us ke hawaala kar do. Apne dil ko us ki mohabbat ke liye khaali kar lo aur apne badan ko us ki itaa'at ke liye waqf kar do. Agar tum ne yeh saare kaam kar liye to goya woh kaam kiya jo ek roza daar ko karna chahiye aur apne Maalik ki itaa'at ki lekin agar is mein kuch bhi kami ki hai to isi miqdaar mein roza ki fazeelat aur us ko sawaab kam ho jaayega. Mere padar-e-buzurgwaar ne farmaya hai ke Rasool-e-Akram (S) ne roza ki haalat mein apni ek zauja ko kaneez ko barā bhala kehte hue dekh liya to us khaatoon ke liye khaana talab kar liya. Unhon ne kaha ke "Main roza se hoon." Farmaya ke "Kaneez ko bura bhala kehne ke baad phir koi roza roza nahin reh jaata hai." Roza tanhaa khaane peene se parhez ka naam nahin hai. Parwardigaar-e-Aalam ne roza ko tamaam bure umoor aur har ghalat kirdaar wa guftaar se bachaane ka zariya qaraar diya hai aur kitne hi log hain jin ko roza se bhook aur pyaas ke alaawa kuch aur haasil nahin hota hai. Ameer-ul-Momineen Alaihissalam ne farmaya hai ke kitne hi roza daar aise hain jin ke roza mein bhook aur pyaas ke alaawa kuch nahin hota hai aur kitne hi 'ibaadat guzaar hain jin ki 'ibaadat ka maahasil ranj wa ta'ab ke alaawa kuch nahin hota hai. Hosh mandon ka sona ahmaqon ki bedaari se behtar hota hai aur 'aql mandon ka iftaar aksar roza daaron se behtar hota hai. Jaabir bin Yazeed ne Imam Muhammad Baqir Alaihissalam se naql kiya hai ke Rasool-e-Akram (S) ne Jaabir bin 'Abdullāh Anṣārī se farmaya ke "Jaabir yeh Maah-e-Ramadaan hai. Jo shakhs is din mein roza rakhe aur raat ke kisi hissa mein 'ibaadat kare aur apne ko har tarah ke haraam se mahfooz rakhe aur apni zabaan ko be-hoodah baaton se bacha le woh gunaahon se is tarah nikal aayega jaise Maah-e-Ramadaan se baahar aaye." Jaabir ne arz ki Ya Rasoolullah (S) yeh to behtareen hadees hai. Aap ne farmaya "Magar Jaabir is par amal karna bahut sakht hai." Baharhaal is mubaarak maheenah ke a'maal ka tazkira do mataalib aur ek khaatima ke zail mein kiya jaayega.