EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Maah-e-Rabī'-ul-Awwal ke Baare Mein
Pehli Raat
13 Hijri ba'sat, Rasool-e-Khuda (S) ne Makkah Mu'azzamah se Madeenah Munawwarah ki jaanib hijrat ki aur is raat Ghār-e-Thawr mein posheeda rahe aur Hazrat Ameer-ul-Momineen a.s. ne apni jaan Aan Hazrat (S) ki jaan par qurbān ki aur un ke bistar par soye aur mushrikīn ke qabeelon ki talwāron ki parwāh na ki aur apni fazeelat aur apne bhai Rasool-e-Khuda Sallallahu Alaihi Wa Aalihi ke saath apni birādarī aur muwāsāt ko tamaam logon par zaahir kar diya to Āyah-e-Karīma "wa min an-nāsi man yashrī nafsahu ibtighā'a marḍātillāh" Aap ki shaan mein naazil hui.
Roz-e-Awwal
Ulamā ne kaha hai ke mustahab hai ke baraaye shukrāna-e-salāmati Rasool-e-Khuda (S) aur Ameer-ul-Momineen a.s. roza rakhein aur un donon buzurgwār ki ziyarat padhein aur Sayyid ra ne Iqbāl mein is din ki bhi du'a naql ki hai aur isi roz ba-qaul Sheikh ra wa Kafa'mi ra Imam Hasan Askari a.s. ne wafaat paai hai lekin mash'hoor yeh hai ke yeh wafaat aathween Rabī'-ul-Awwal ko hui hai shaayad yeh Imam ke marz ka pehla din raha ho.
Maah-e-Rabī'-ul-Awwal ki 8 Taarikh
Roz Hashtum
260 Hijri mein Imam Hasan Askari a.s. ki shahaadat hui aur Hazrat Saahib-ul-Amr 'ajjallallahu manṣib-e-imāmat par jalwah afroz hue. Munaasib hai ke in donon buzurgwār ki ziyarat padhein.
Nauwaan Roz
Roz Nahum
Roz-e-'Īd-e-Buzurg hai aur Roz-e-'Īd-e-Akbar hai jis ki sharḥ apne maqaam par zikr ho chuki hai aur ek riwayat yeh bhi hai ke jo shakhs is roz kuch infāq karega us ke gunaah bakhshe jaayenge. Aur 'ulamaa-e-kiraam ka irshaad hai ke mustahab hai is roz barādarān-e-momin ko khaana khilana, un ko khush karna, nafaqah mein wus'at dena aur naye kapde pehenna aur Parwardigaar ka shukr adaa aur us ki 'ibadat karna. Dar ḥaqīqat yeh ghamon ke bar taraf hone ka din hai aur bahut bade sharaf ka din hai aur chunke 8 Rabī'-ul-Awwal ko Imam Hasan Askari a.s. ki wafaat hui hai lehaza yeh Imam Saahib-uz-Zamaan a.s. ki imaamat ka pehla din hai aur yeh us ke mazeed sharaf ka sabab hai.