Panaah chahta hoon Khuda ki Zaat-e-Azeem ki
وَ بِعِزَّتِهِ الَّتِىْ لَا تُرَامُ
Aur uski us izzat ki jahaan tak kisi ki pahunch nahin hai
وَ بِقُدْرَتِهِ الَّتِىْ لَا يَمْتَنِعُ مِنْهَا شَيْئٌ
Us qudrat ki jis se koi bach nahin sakta hai
مِنْ شَرِّ هٰذَا الْوَجَعِ
is marz ke muqaable mein
وَ مِنْ شَرِّ مَا فِيْهِ
aur is takleef ke muqaable mein
وَ مِنْ شَرِّ مَا اَجِدُ مِنْهُ۔
aur iske tamaam asraat ke muqaable mein.
Phir us ko baarish ke paani se dho le aur naashtah ke waqt aur sote waqt piye to Insha-Allah mubārak wa naf' bakhsh ho ga.
Riwaayat meiñ hai ke ek shakhs ne Ḥazrat Rasool-e-Akram sallallahu 'alayhi wa aalihi wa sallam se apne bhaa'i ke dard-e-shikam ki shikaayat ki to aap sallallahu 'alayhi wa aalihi wa sallam ne farmaaya ke apne bhaa'i se kaho ke garm paani meiñ shehed milaa kar piye. Woh shakhs gaya aur aa'indah roz palaṭ kar aaya aur 'arz ki ke maiñ ne use woh sharbat pilaa diya magar koi faa'idah nahiñ hu'a aap sallallahu 'alayhi wa aalihi wa sallam ne farmaaya: Ṣadaqa Allāhu wa kadhaba baṭnu akhīka jaa'o aur use shehed ka sharbat pilā'o aur saat martaba Surah Ḥamd paṛh kar is ta'weez karo. Jab woh shakhs chalaa gaya to Ḥazrat ne Ameer-ul-Mo'mineen 'alayhissalaam se farmaaya 'Ali is ka bhaa'i munāfiq hai aur isi binaa par is sharbat se us ko koi faa'idah nahiñ hu'a hai.