Pehle likhe Surah Innā Fataḥnā ta Mustaqīmāñ aur Surah Idhā Jā'a Naṣru Allāhi - aur in aayatoñ ko: Pas woh yeh ta'weez apne paas rakhe aur apni khwaab gaah ke oopar laṭkaaye. Fulaañ bin Fulaañ ki jagah mard ka aur us ke baap ka naam le aur bint-e-Fulaani ki jagah 'aurat ka aur us ki maa'ñ ka naam le. Ḥazrat Imam Moosaa Kaazim 'alayhissalaam se ek riwaayat hai jo aap 'alayhissalaam ne Isḥaaq Saḥḥāf ko ta'leem farmaa'i thī lekin chūñke woh bahut ṭoolani hai is liye ham ne zikr nahiñ kiya hai.
Iski nishaaniyon mein se ek nishaani yeh bhi hai ke usne tumhaara joda tumhin mein se banaaya taake tumko sukoon haasil ho aur tumhaare darmiyaan muhabbat o rehmat qaraar di jismein saahibaan-e-fikr ke liye uski nishaniyaan paayi jaati hain. Usne Bani Israa'eel ko hukm diya, tum is darwaaze se daakhil ho jaao aur uske baad tum is par ghaalib aa jaaoge. Nooh (A.S.) ke zamaana mein aasmaan se darwaaze khol diye aur baarish shuru' ho gayi. Zameen se paani ubalne laga aur jo usne chaaha uska faisla mukammal hogaya. Khoodaya mere seene ko kushadah kar de, mere mas'ale ko aasaan kar de, meri zubaan ki girah ko khol de taake log meri baat ko samajhne lagen. Parwardigaar jis tarah tu ne Anbiyaa o Mursaleen par yeh meherbaaniyaan farmaayi hain aise hi main falaan ko falaan ke shar se mehfooz rakhna chahta hoon. Khuda ka Rasool tumhaare paas aaya tumhaari takleefein uske liye sakht theen. Woh tumhaari hidaayat ke liye be-chain tha aur Momineen par meherbaani karne wala tha. Agar sab uske mukhaalif ho jaayen to koi parwaah nahin. Allah kaafi hai usi par i'temaad hai aur woh Saahib-e-Arsh-e-Azeem hai.