Du'a-e-Shai'bah Hazli
9. Kulaini (R.A.), Ibn Baabawiyah (R.A.) aur doosre afraad ne mo'tabar sanadon ke saath Imam Muhammad Baqir (A.S.) se riwaayat ki hai ke Shai'bah Bazli ne Rasool-e-Akram (S.A.W.) ki khidmat mein aakar arz ki: Ya Rasoolullah (S.A.W.)! main boodha ho gaya hoon aur ab meri taaqat un tamaam a'maal ki ijaazat nahi deti hai jinka main aadi tha ke ab is tarah Namaaz, Roza aur Hajj o Jihaad nahi kar sakta hoon lehaza mujhe aap aisi cheez ta'leem dein jisse mujhe faa'ida ho aur mere liye aasaan bhi ho.
Aapne farmaya dobara kaho. Usne yeh baat teen baar dohraayi to Aan Hazrat ne farmaya ke tumhare chaaron taraf koi darakht aur patthar ya dhela aisa baaqi nahi raha jisne tum par reham kha kar girya na kiya ho.
Ab jab bhi tum Namaaz-e-Subh se faarigh hona to das baar kehna:
Paak hai Buzurgtar Allah aur hamd usi ke liye hai
وَلَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ اِلَّا بِاللّٰهِ الْعَلِىِّ الْعَظيْمِ۔
Nahin koi taaqat o quwwat magar wahi jo Khuda-e-Buland o Buzurg se hai.
Taa ke Khuda tumko is du'a ki barkat se naabeenayi, deewangi, bars, juzam aur pareshaan haali se mehfooz rakhe.
Shai'bah ne arz ki: Ya Rasoolullah (S.A.W.)! yeh to meri duniya ke liye hai, meri aakhirat ke liye bhi kuch farmayiye.
To Aap (S.A.W.) ne farmaya ke har Namaaz ke ba'd yeh du'a padho:
اَللّٰهُمَّ اهْدِنِىْ مِنْ عِنْدِكَ
Khoodaya mujhe apne paas se hidaayat inaayat farma,
وَاَفِضْ عَلَىَّ مِنْ فَضْلِكَ
apne fazl o karam ko mere shaamil-e-haal kar de,
وَانْشُرْ عَلَىَّ مِنْ رَحْمَتِكَ
apni rehmat mujhe ataa farma de
وَاَنْزِلْ عَلَىَّ مِنْ بَرَكَاتِكَ۔
aur apni barkatein mujh par naazil farma de.
Phir Hazrat (S.A.W.) ne farmaya agar insaan isko poori zindagi musalsal padhta rahe aur jaan boojh kar tark na kare to jab Maidaan-e-Mahshar mein aayega to uske liye Jannat ke aathon darwaaze khol diye jaayenge ke jis darwaaze se chahe daakhil ho sakta hai.
Iske alaawa doosri du'aen bhi mo'tabar sanadon ke saath waarid hui hain.