EN اردو RO AZ
🌐
English اردو Roman Azerbaijani
🏠 🔍
Hirez Imam Riza 'alayhissalaam
Is hirez ki ek 'ajeeb daastaan hai jo Abus Salt Harawi ne riwaayat ki hai ke ek din mere Maula 'Ali ibn Moosaa ar-Riza 'alayhissalaam apne ghar meiñ tashreef farmaa the ke aap 'alayhissalaam ki khidmat meiñ Ma'moon ka numaa'indah haazir hu'a aur kaha ke aap ko Ameer ne bulaaya hai.
Imam 'alayhissalaam khaṛe ho ga'e aur farmaaya ke mujhe Ma'moon ne is waqt ek sakht kaam ke liye bulaaya hai aur Khuda ki qasam woh mere saath koi bura sulook nahiñ kar sakta un kalimaat ki binaa par jo mere Jadd Rasool-e-Akram sallallahu 'alayhi wa aalihi wa sallam se ham tak pahuñche. Abus Salt kehte hain ke maiñ Imam 'alayhissalaam ke saath Ma'moon ke paas gaya.
Jab aap 'alayhissalaam ki nazar paṛi to aap ne yeh du'a aakhir tak paṛhi phir jab Hazrat Ma'moon ke saamne khaṛe hu'e to us ki taraf ghaur se dekha aur us ne kaha ke Aye Abul Hasan maiñ ne hukm de diya hai ke aap ko ek laakh dirham de diye jaayeñ aur aap ko jo haajat ho woh tehreer farmaa deñ. Jaise hi Imam 'alayhissalaam ne waapsi ke liye muñh phera. Ma'moon ne kaha ke maiñ ne bhi ek iraadah kiya tha aur Khuda ne bhi ek iraadah kiya lekin jo iraadah-e-Khuda tha woh behtar tha.