Khwaab meiñ Awliya-e-Ilaahi aur rishtedaaroñ se mulaqaat ka dastoor-ul-amal
16. Shaykh Kaf'ami rahmatullahi 'alayhi ne Misbah meiñ aur Muhaddis Faiz ne Khulaasat-ul-Azkaar meiñ farmaaya hai ke maiñ ne ba'z Shi'ah Isnaa 'Ashari 'Ulama ki kitaaboñ meiñ dekha hai ke jo shakhs kisi Nabi sallallahu 'alayhi wa aalihi wa sallam ya Imam ya apne kisi marhoom ya walidain ko khwaab meiñ dekhna chaahta ho woh Surah ash-Shams (Surah Number 91) wa-Layl (Surah Number 92) wa Qadr (Innaa Anzalnaahu), wa Qul Yaa Ayyuhal Kaafiroon, wa Surah Ikhlaas (Qul Huwa Allah), aur Mu'awwizatain (Qul A'oodhu bi-Rabbil Falaq, Qul A'oodhu bi-Rabbin Naas) padhne ke ba'd sau (100) martaba Surah Ikhlaas padhe aur Muhammad wa Aal-e-Muhammad sallallahu 'alayhi wa aalihi wa sallam par salawaat padhe aur baa-wuzu ho kar daahni karwat so jaaye.
To Insha-Allah jis ka bhi iraadah kiya hai use dekh le ga aur us se jo chaahe ga guftagoo kar le ga.
Aur maiñ ne doosri kitaab meiñ dekha hai ke is du'a ko padhne ke ba'd is 'amal ki saat raat tak takraar bhi kare.
Khoodaya tu Zindah hai jiski tausīf nahin ho sakti
وَالْاِيْمَانُ يُعْرَفُ مِنْهُ
aur Imaan usi ke zariye pehchaana jaata hai.
مِنْكَ بَدَتِ الْاَشْيَاۤءُ
Tujh hi se har cheez ki ibtidaa hai
وَ اِلَيْكَ تَعُوْدُ
aur teri hi taraf har cheez ki baazgasht hai.
فَمَاۤ اَقْبَلَ مِنْهَا كُنْتَ مَلْجَاَهُ وَ مَنْجَاهُ
Jo cheez saamne aati hai
وَ مَاۤ اَدْبَرَ مِنْهَا لَمْ يَكُنْ لَهُ مَلْجَاۤءٌ
to uske liye malja o ma'waa nahin hai
وَلَامَنْجًامِنْكَ اِلَّاۤ اِلَيْكَ
siwaaye teri baargaah ke.
فَاَسْئَلُكَ بِلَاۤ اِلٰهَ اِلَّاۤ اَنْتَ
Main tujh se Laa Ilaaha Illallaah ke waseele se
وَ اَسْئَلُكَ بِبِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Bismillaah ke waseele se
وَ بِحَقِّ حَبِيْبِكَ مُحَمَّدٍ صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَ اٰلِهٖ
tere Paighambar Sallallahu Alaihi Wa Aalihi
سَيِّدِ النَّبِيِّيْنَ
Khaatamun Nabiyyeen (S.A.W.) ke haqq ke
وَ بِحَقِّ عَلِىٍّ خَيْرِ الْوَصِيِّيْنَ
aur Ali (A.S.) Khairul Wasiyyeen
وَ بِحَقِّ فَاطِمَةَ سَيِّدَةِ نِسَاۤءِ الْعَالَمِيْنَ
aur Faatimah (A.S.) Sayyidatu Nisaa'il Aalameen
وَ بِحَقِّ الْحَسَنِ وَالْحُسَيْنِ
aur Hasan (A.S.) Husain (A.S.)
اللَّذِيْنَ جَعَلْتَهُمَا سَيِّدَىْ شَبَابِ اَهْلِ الْجَنَّةِ
Sardaaraan-e-Jawaanaan-e-Jannat ke waseele se
عَلَيْهِمْ اَجْمَعِيْنَ السَّلَامُ
Durood o salaam ho un par aur unki Aal (A.S.) par
اَنْ تُصَلِّىَ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اٰلِ مُحَمَّدٍ
sawaal karta hoon ke Muhammad (S.A.W.) o Aal-e-Muhammad (A.S.) par rehmat naazil farma
وَ اَنْ تُرِيَنِىْ مَيِّتِىْ فِى الْحَالِ الَّتِىْ هُوَ فِيْهَا
aur murde ko isi haal mein dikhlaa de jis haal mein woh hai.
17. Khulaasat-ul-Azkaar meiñ ba'z kitaaboñ se naql kiya gaya hai jis ko maiñ ne Muhammad Jareer Tabari ki kitaab Adaab-ul-Hameedah meiñ dekha hai ke Tabari ne Harith bin Rooh se aur us ne apne waalid aur apne daada se naql kiya hai ke unhoñ ne apni awlaad se kaha ke jab kabhi tumheiñ koi cheez ghamzadah kare to apni raat ba-ṭahaarat aur paak bistar aur lihaaf meiñ guzaaro aur tumhaare hamraah koi 'aurat na ho.
Aur saat martaba ash-Shams aur saat martaba wa-Layl padhne ke ba'd kaho:
اَللّٰهُمَّ اجْعَلْ لِىْ مِنْ اَمْرِىْ هٰذَا فَرَجًا وَ مَخْرَجًا
Ay Ma'bood! Tu mere liye is ma'amle ke suljhaane aur is se nikalne ka raasta banaa de.
Jab is 'amal ko bajaa laa'o ge to isi raat ya teesri raat ya paañchviñ raat aur mujhe yeh khayaal hai ke unhoñ ne kaha ke saatviñ raat meiñ ek shakhs ko khwaab meiñ dekho ge jo tumheiñ is dard-o-gham se najaat paane ka raasta bataaye ga.